Quote Originally Posted by singer_zuhaib View Post
assalam o alaikum.

Boht acha thread hai niyahat acha thread hai.mai yahaan maa k hawale se koch or share karna chahta hon.

Recently mother day pe ary k morning show pe ansaar barni k trust mai show ho raha tha jahaan pe host wahaan ki bazurg oraton pe mother day ka show kar rahe thi.

Ek maa se pocha gaya k ap ki kia kahani hai to unho ne bataya.

K

muje mere bete ne maar maar kar ghar se dhake de kar nikaal dia or muje be dardi or wehshana andaaz se marta tha jab k yehe beta tha k jab mai rikshaw mai bethne lagti thi to mere sar k opar haath rakh leta tha k kahin maa k sar pe choot na lag jaey or vohe beta hai k jis ne muje mara or muje kicko se mara,muje mukoo se mara.

Mai ye sab dekh raha tha or zaar o qataar rote ja raha tha k insaan kitna zaleel or kitna ghatiya hai k os hasti ko bhi maaf nahe karta jis ne ose janam dia jis ne ose pala posa seencha jora osi k sath itna zulmmmmmmmmmmmmmm.

Phir host ne un maa se pocha k ap kia apne bete ko maaf nahe kare gi to maa ne kaha nahe mai ose maaf nahe karon gi or meri wasiyat hai k mai jab mar jaon to ose mera chehra na dikhaya jaey.

Or mai kaanp gaya k es se bari saza or kia ho sakti hai k maa narazgi mai donia se chali jaey or phir os pe intahai azeem saza ye k maa ki wasiyat ho k os k bete ko os ka chehra na dekhne dia jaey.

Mai ye sab sun raha tha or mera dil kar raha tha k mai os maa k pairo ko pakar k kahon k maa muje maaf kar do par mai esa to na kar saka par mai tv k samne ye tasuwar karte howa dono hath mafi k andaaz mai jor k rote howe os maa se maafiyaan maang raha tha k aey maa muje maaf kar do muje maaf kar do,jese vo maa mere samne bethi ho or muje sun rahi ho,or sath he sath rabb rehman se dua bhi kar raha tha k ye maa apne beta ko maaf kar de or beta bhi aa kar apne maa k qadmo mai gir pare or maa k qadmo ko os waqt tak na chore jab tak oski maa ose maaf na kar de

or abbhi ye post karte howe os sare scene ko sochte howe phir se ansoo nikal aey hain.

Mai sochta hon insaan jis ka dimaag rabb rehman ne body mai sab se opar rakha hai phir osi dimaag se vo nichli satah ki or ghatiya soch soch kese leta hai or phir os pe amal kese kar leta hai.

Mai phir yehe kaho ga k jin jin k maa hayaat hai pls apni pori zindgi mai kam se kam ek bar apni maa ki qadam bosi zaroor kare.

Rabb rehman hume apne parents ka apna or apne rasool (sallallah ho alai he wa aale he wasallum) ka farmabardaar bana le apne aajiz o inkasaar o shukar guzaar bando shamil farma le.

Ameen.

Pls ek bar darood pak must parhe.

isi tarhaan ki kayi or haqiqi daastanain hain ... Allah k qaher ko hum khud bulana chahtay hain allal hum sub ko aql or shaoor ata farmaday " ameen