@CaLmInG MeLoDy
chalo bhi shoro hojao,
Q1: apnay mulk ka kaun sa sheher hai,Islamabad k elawa jisay dekhnay,sair karnay ka shauq hain?
Q2: Karachi anay ka irada tou nahi kiya na kabhi?
Q3: yaad aya,tum ne aik safar nama numa cheez likhi thi,aik aur forum par,meray hi announce kardah compt k liye,usay parh kar meray zehan main aik sawal aya tha,ye rubby dubby do,Umrah karnay gai thi ya khanay khanay??? tum batao kiya karnay gai thin???
Q4: janwar palnay ka shauq hai,,,,,,,,,,,,?
Q5: barish ho tou main pehlay kaam kiya karti ho?
Q6: college,uni main kabhi class bunk ki????
Q7: kaun sa subject munh k zawaiye bigar diya karta hai aur hai abhi talak..??
Q8: kabhi ulti kitab parhi koi,,,,,,,,,yani ikhtetam say ibteda ki janib?
Q9: kiya ziyada zaroori hai,,,,,,,,,,,mobile,laptop.........ya phir sukoon???
Q10:ghar ko saaf karna pasand hai ya ganda..............????
Bookmarks