Wah
Kiya likha hai
Par mujhe kiyun lag raha hai roman likhtay likhtay urdu imla gaya tumhara kaam say
Anay walay waqt ka DHARKA laga karta hai,DHACHKA nahi
Aslobi main س ata hai ص nahi
Wabasta aur wabastagi main ت aye ga ط nahi
Insaan kal bhi naqabil e bharosa thy aur aaj bhi hain.
Phir aaj k insaan k pass apnay itnay masail hain k woh kisi dosray ko sunnay par razamand mushkil say hi hota hai aur hota bhi hai tou apni sharton par.
Aur sun kar bhi koi aapki pareshani ya dukh ko samjhay ga ye lazmi nahi.log behas karna shoro kar detay hain.nasihatain ati hain jawab main ya tanay.
Pehla,awal aur akhri sahara sirf Rab hi ki zaat hua karti
So,main apnay dukh aur malal ki shikayat sirf Allah say karti hoon![]()
Bookmarks