google.com, pub-2879905008558087, DIRECT, f08c47fec0942fa0
  • You have 1 new Private Message Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.
    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Results 1 to 5 of 5

    Thread: gaye dinon ka suragh lay kar kidhar say aaya kidhar gaya woh

    Threaded View

    1. #1
      Administrator Admin intelligent086's Avatar
      Join Date
      May 2014
      Location
      لاہور،پاکستان
      Posts
      38,411
      Threads
      12102
      Thanks
      8,637
      Thanked 6,946 Times in 6,472 Posts
      Mentioned
      4324 Post(s)
      Tagged
      3289 Thread(s)
      Rep Power
      10

      gaye dinon ka suragh lay kar kidhar say aaya kidhar gaya woh

      gaye dinon ka suragh lay kar kidhar say aaya kidhar gaya woh
      ajeeb manoos ajnabee thaa mujhe to heran kar gaya woh

      bus ik motee see chab dikha kar bus ik meethee see dhun suna kar
      sitara e shaam ban kay aaya barang khwab seher gaya woh

      khushee kee raat ho keh gham ka mausam nazar usay dhondtee hai har dum
      woh boo e gul tha keh naghma e jan meray to dil main uttar gaya woh

      nah ab woh yaadon ka charhta hai darya na fursaton kee udaas barkha
      yoonhee zara see kasak hai dil main jo zakham gehra thaa bhar gaya woh

      kuch ab sambhalnay lagee hai jaan bhee badal chala hai rang aasmaa bhee
      jo raat bharee thee tal gayee hai jo din kara thaa guzar gaya woh

      shikasta pa raah main khara hoon gaye dinon ko bulaa raha hoon
      jo qaaflaa mira humsafar thaa misaal e gard safar gaya woh

      hawis kee bunyaad per na theraa kisee bhee umeed ka gharonda
      chalee zara see hawa mukhaalif ghubaar ban kar bikhar gaya woh

      bus ik manzil hai bulhawas kee hazaar rastay hain ahle dil kay
      yehi to farq hai mujh main us main guzar gaya main thehar gaya woh

      woh meekday ko jalaanay wala woh raat kee neend uraanay wala
      yeh aaj kia us ka jee main aayee kay shaam hotay hee ghar gaya woh

      woh jis kay shaanay pe haath rakh kar safar kia tu nay manzilon ka
      teri gali say na janay kioon aaj sar jhukaaey guzar gaya woh

      woh hijr kee raat ka sitara woh hum nafas hum sukhan humara
      sada rahay us ka naam piyraa suna hai kal raat mar gaya woh

      woh raat ka baynawa musafir woh tera shaair woh tera nasir
      teri gali tak to hum nay dekha thaa phir naa janay kidhar gaya woh


      Similar Threads:

      کہتے ہیں فرشتے کہ دل آویز ہے مومن
      حوروں کو شکایت ہے کم آمیز ہے مومن

    2. The Following User Says Thank You to intelligent086 For This Useful Post:

      Moona (04-10-2016)

    + Reply to Thread
    + Post New Thread

    Thread Information

    Users Browsing this Thread

    There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

    Visitors found this page by searching for:

    Nobody landed on this page from a search engine, yet!
    SEO Blog

    User Tag List

    Tags for this Thread

    Posting Permissions

    • You may not post new threads
    • You may not post replies
    • You may not post attachments
    • You may not edit your posts
    •