1- Aap ki cooking kaisi hai khane walon ka point of view kya hota hai?
To b Frank Humko zyada logo ka cook karne ata nahi hai..bas 3 se 4 logo ka cook kar sakti hn..alhumdulillah jo cook karti hn acha hi cook karti hn..pehle pehle galtiyan hoti thi bt insan galti se hi to seekhta hai na
2- Aap ki kaun c dish zayada pasnd ki jati hai?:D
ji Shauhar sahab ko mere kafi dishes pasand atey hi jaise kheema matar gurde fry gosh fry etc
3- kya aap ka joint family system hai ?
ji nahi sasural joint family system nahi hai..
4- Aap ki saas achi hai ya susar?
ye To kafi tough sa sawal hai.. waqt k sath sath sab badal jate hai. I would say sasur ji kafi ache hai...
5- Aap shadi se pehle
shohar ko janti thin?
ha ji bilkul family friend jo the ye janaab
6- Kya aap ke shohar aap ki family se hain?love
ji bilkul nahi
7- Outing par kahan jana pasand hai?running
jaha nature ho.. mjhe nature barha pasand hai asmaan pani greenery
8- Kya outing par khana bahir se khate hain ya ghar aa kar khate hain?bff
ghar akar kaun pakayega. Bahar se hi kha lete hai..
9- Shohar ko kaun sa dress pasand hai?
Shauhar sahab ko dkhe ethnic zyada pasand hai
10- Aap un ko kaun se dress main pasand karti hain?
kurta pajama
11- Aap ko shohar ki kaun c adat pasand hai aur kaun c na’pasand?
unka caring nature kafi pasand hai. Janaab ka chirana aur satana bilkul.pasand nahi
12- Aap dono khana akhte khate hain ya jis ko jab bhook lage kha laita hai?
wo ghar hote hai to sath khate hai.. warna nahi..bt dinner sath hi hota hai chahe jitni bhook lage
13- Aap maikey kitne dino ke baad jati hain?yahoo
mera jab Mann kare chale jati hn:D
14- Kya aap ke shohar aap ko maikey chor kar aa jate hain ya wahan thehrna pasand karte hain?
ji wo kabhi mjhe chor kar aajate hai kabhi me khud chali jati hn.. Ji wo waha nahi teherte
15- Jab aap maikey jati hain to pehle kaun fone karta hai ,aap ya shohar?care
ji ghar atey hi wo call kar lete hai mjhe...
16- Aap kitne dino taka lag alag reh sakte hain?
mere mummy ka ghar mere ghar se bas15 se 20 min k distance par hai.. waise bhi shauhar sahab pehle Qatar me the
17- Aap ki susral main kabhi larai huii agar ho to aap ka shohar kya role ada karte hain?fighting
mere shauhar sahab mjhe lekar kafi protective hai
18- Agar shohar se larai ho to sulah main pehal kaun karta hai?love fight
shauhar sahab karte hai:Dyeah
19- Ghar main nangey paon pherti hain ya jotey pehan kar
mjhe zukam barha hota hai aur ghar k florring marbles k hai to footwear se hi phirti hn
20- Serdi zayada lagti hai ya germi?
sardi... mjhe thand bardash nahi...
Bookmarks