@Ainee
Walikum Salam.
Pehlai to mai ap sab ka (Moderators, Admins & Membors) shukriya ada karta hon. ap sab nai mujai boht pyar diya yahan. R khas kr @BDunc Sir r @Aliza ka boht boht shukriya q k in donon nai merai sath boht mehnat ki. mujai boht kuch sikhaya. ye mera pehla dafa hai k mai kisi forum ko use kar rha hon is liye mujai idhar mushkilat boht thai likn @BDunc Sir r @Aliza g ki mihnat sai mai is qabil bana k mai idhar kuch post kar sako r apnai khayalat ka izhar kar sako. so thanks a lot @BDunc Sir & @Aliza G.
R jo sir kehlwanai ka msla hai to janab mujai bura nahi lgta k koyi mujai sir ya sir ji kahai likn msla ye hai k mai jidhar kam karta hon to udhar kuch bandai hai jo mujai tang kartai hai bar bar sir ji sir ji keh k. mai un ko mana karta hon k mujai merai nam sai pukara karai q k ziyada tar merai ham umar hai likn wo log phir bhi baaz nahi atai.
And i dont have any problem ap ka muj ko sir g kehnai sai likn i think mai yahan par sab se junior hon is liye agar ap sab mujai merai nam sai mukhatib karien gai to mujai boht acha lagai ga.
Mujai bat karnai ka saleqa ata nahi hai is liye agar koyi bhi ghalti hoyi ho to us k liye muafi chahta hon.
R sawalon k jawab mai koshash karon ga k jald az jald don. inshaAllah
Shukriya.
Bookmarks