Ehkamat jari karnay ka khabt hai.Chahti hain k tamam k tamam team members haath bandhay,sar jhukaye,Nighahen nechi kiye muhtarma K darbar main line hazir raha karain.shuhar e namdar aur ghar walon ka tou pata nahi,albatta ink saath kaam karnay walon ka aik limit k baad aakar meter ghoom hi jata hai.phir woh forum say sar par paon rakh kar nahi,paon main pahiye fitt kar k sarpat bhagta dikhai deta hai.
Aik say barh kar aik uljhan bhara,arq reezi(arq ink demagh ka....reezay dosron k demagh k)
Aur fuse uranay wala kaam kar k yun khush hoti hain jaisay qustuntuniya fatah kar liya ho.maqsad shayad ye hai k ungli kata kar shaheedon main naam shumar karwa lain.
Taluqat bigarti kisi say nahi,aur bananay ki zaroorat paish ati nahi,k muhtarma ki shakhsiyat koi shehad ki makhi ka chatta hai jo ata hai bhir jata hai.
Chand roz qabal ye raaz bhi munkashif hua mujh na cheez par k inhay ghussa bhi ata hai...wallah...Allah Allah....aisa koi Siachen Glacier jaisa sard ghussa, jis main thandak k saath saath khatray ki bu bhi ho Allah sab ko dain.
Har dam hangama barpa kiye rehna addat hai ya zaroorat,is par tehqeeq jari hai.dil kehta hai zaroorat,demagh kehta hai addat.demagh ki kabhi maine mani nahi aur dil k jhoot main ab main ati nahi.so dekhiye ont(camel) kis karwat baith'ta hai.....tehqeeq ka ont.
Lecutre.......tamam pakistaniyun ki tarhan bohat acha day laiti hain,agar masla dosray ka ho tou.
Logon ko chanay k jhar par charha kar apna kaam nikalwanay k fun say bhi bakhobi agah hain.aur gahay bagahay iss hunar say faizyab bhi hoti rehti hain.
Bazahir jo dikhti hain,woh hain nahi.aur jo hain,woh dikhti nahi.hain kawakib kuch nazar atay hain kuch ki tarhan.....kuch tou hai jis ki pardah dari hai.
Bookmarks