Walaikum Assalam
Atay hi hamla,aur woh bhi shairi Ki tang tortay hoye
Itnay tehray banday ka interview hai,tou phir sawalat bhi usi hisab say emarti numa seedhay honay chahaiye..!
@FlashPro aur amo k baqol flash light
Q1: Apnay ghar main apna koi mutalba manwanay k liye dharna detay hain ya dharnay walon ko ghar lay atay hain?
Ghar mein Abhi tak Abba ki dictatorship qaeim hai dharna denay ya lanay ki saza takht a daar ya os say bhi kharnaak Maa g ko baatein hain' tum hee nay kharab kiya, badmash mamoowon per parha (excluded BD mamoo![]()
Q2: Pani geela paitay hain ya sailab k utarnay ka intezar kartay hain?
Dhood aur Pani zada tar gila kar kay hee pita hoon, sailab kay liey hifazati iqdamat mujood hain, haan khushk sali ka zamana ho tu sukhay dhood mein suka pani mix per guzara karna parta hai.
Q3: Shakar ka iss qadar zayed istemal kiyun kartay hain,suger mill malikaan say bhatta laitay hain?
hum experiment kar rahain hai... mustaqbil mein chini sugar kay patients say hasil ki gaey gi. Haar sugar patient caroroon ka bika karay ga, loug duaaein manga krein gein Ae Khuda peri biwi zada sugar deynay lag jaey. UN walay yahoodi sazish kay zaey katray pila kar hamaray bachoo ko is azeem nimaat say mehroom karnay ki sazish karein gein. Khabardaar rahein Sadam:
Q4: Kareelay ko neem charha kar apko paish kiya jaye tou sab say pehla kaam kiya karain ge?
Aiesa sirf Mirz... oh sorry I mean Mamin G hee kar saktI hain hum ba qaddam o chasham Nosh farma lein gay.
Q5: Rubby ko dubby do kiyun kaha jaye?
Rubby slip ho kar dubby bohat hai is liye
Baqi k sawalat baad main
G bohat behtar
Bookmarks