aap ne dursut fermaya ke Quran o sunnet ka Aamil hi Roohani moalij hota he.
aur ye bhi theek he ke waqai es ke baad hamain kisi aur cheez ki zoroorat nahi. lekin ek lehaaz se aap ka ye kahyal theek nahi he.
woh es tarah se ke Ilaaj ki sunnat phir aap kis tarah se poori karian ge. aap ne beemari ke liye nafil perh liye, ye bhi sabit he. sadqa de liya ye bhi sabit he. aur teesri cheez ilaaj he, aur os ke liye tu tabeeb ya Dr. hi hota he na.
aur jab ilaaj ki baat jaay tu phir hum Drs. ke paas bhi tu jatty hian na. jab ke aaj kal maloomat ke hisaab se aap ko tabreebun her marz ki dawa ka naam google per mil jay ga. per nahi , aap khatra samjh ker Dr. ke hi paas jaty he. per kion? kion ke woh Maahir he. jab woh cartizone se ilaaj ker sakty he aur bandah nahi merta tu eska matlab howa ke woh maahir he.
esi tarah yahaan bhi maharat check ki jay gi. tafseer e qurana ke liye mufassir, hadith ke liye muhadis, fatwey ke liye mufti aur jhaar phoonk ke lye Aamil. kion ke ye loug cheezon ki asliyat ko gehraai me jaaker naaptey hian. unko zahiri aur baatini haqeeqat maloom hoti he.
misaal ke tor per ek aamil ke paas aik aisa mareez ata he jo bilkul khamosh ho. dekhny waly kaiah ge ke ye normal he. per aamil is ke wujood me ghussey hoye shayateen aur jinnat ko bhaanp leta he. jis ne oski zaban band ker rakhi he. aur jab woh os per dum kerta he y ataweez deta he to woh shayateen or jinnat palat ker hamla kerty hain , waar kerty hain. jis per muqabla hota he, larai hoti he.
me mashwara tu nahi doonga, per ager kisi per aapko lagey ke jinn ka say ahe tu os per 3 , 3 baar surah falaq aur nas phoon ker dekh lain. na aapki apni tabeeat kharab ho jay tu kahiye ga.
asal me baat ye he ke hamra ab tak pala nahi para tu hum es ki haqeeqat nahi janty. Jadu ki taseer ka khullum khulla inkaar kerty hain. jo ke quran ke manafi he.
Saamri ke bachrey per jadu kia tha aur poori qoum ko gumrah ker diya tha. hum sayae ab tak yehi samjhy ke jadu ka naam chezoon ko gayab ker dena he, ya ghayab ho tu laa ekr de dena he.
tu her fun ke maahir loug hian. on se rojoo karian. au rilaaj ki sunnatko tak na karian.
داغ داغ مت کرو سب داغ دار ہے
بے داغ تو وہی ہے جو پروردگار ہے
There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)
Bookmarks