Yeh Kya Jagah Hai Dosto Ye Kaun Sa Dayaar Hai,
Had-e-Nigaah Tak Jahan Gubaar Hi Gubaar Hai
Ishq Se Tabiyat Ne Zeest Ka Mazaa Paya,
Dard Ki Dawa Payi Dard Be Dawa Paya.
Aata Hai Daag-e-Hasrat-e-Dil Ka Shumaar Yaad,
Mujhse Mere Gunah Ka Hisaab Ai Khudaa Na Maang.
Unke Dekhe Se Jo Aa Jaati Hai Chehre Par Raunaq,
Woh Samajhte Hain Ke Beemaar Ka Haal Achcha Hai.
Teri Yaadon Ke Har Taraf Hujoom,
Kitni Roshan Hai Meri Tanhayi.
Wo Khud Ek Sawaal Ban Ke Rah Gaya,
Jo Meri Puri Zindgi Ka Jawab Tha.
Dil-e-Gumrah Ko Kash Yeh Malum Hota,
Pyar Tab Tak Haseen Hai Jab Tak Nahi Hota
Wo Roz Dekhta Hai DoobTe Suraj Ko Iss Tarah,
Kash... Main Bhi Kisi Shaam Ka Manzar Hota.
Hoti Agar Mohabbat Baadal Ke Saaye Ki Tarah,
To Main Tere Shahar Me Kabhi Dhoop Na Aane Deta.
There are currently 3 users browsing this thread. (0 members and 3 guests)
Bookmarks