ye kis Khalish ne phir is dil men aashiyanaa kiya
phir aj kis ne suKhan ham se Gayebaana kiyaa
yas kii basti men ek chhoti si ummid-e-visaal
ajanabi ki tarah phirti hai ghabaraai hui
Ay kash yahan bars jay noor ki barish
eeman k shishon pay bri gard pri hay
Raaston kaa ilm thaa ham ko na simton kii Khabar
Shahar-e-naamaaluum kii chaahat magar karte rahe
Aaj us ne dard bhii apane alahadaa kar diye
Aaj main royaa to mere saath vo royaa na thaa
Uter ke dil main lahoo zeher ker gaya akhir
Woh saanp jisko meri aasti'n main palna tha
Agar tum se koi pooche ke meri zindagi kya hai
Hatheli par zara si khaak rakhna aur urha dena
ye kia usi ko subha-e-musafat ne chor ker dala
Woh aaftab jise dopeher main dhalna tha
Main laghzishon se ate raaston pe chal nikla
Tujhe ganwa ke mujhe phir kahan sanmbhalna tha??????
There are currently 6 users browsing this thread. (0 members and 6 guests)
Bookmarks