Quote Originally Posted by Ria View Post
Ma sha ALLAH sy aap k bary me jan kr aacha lga..
Koi baat nahi aap jitna btana chahey hum utna e sun laien gy, aur hath bhi hola e rakhien gy..:d
Ma sha ALLAH sy aap ny choti umer sy he Islam ko smjhna shoro kr dia, aur By shak tarbiet ka bht asar jo aap ko bachpan me qissy aur waqiyat suny gy, unhi baron ki mehrbani sy hai ALHAMDULILLAH..

Haan ji to kriey start phr chnging Islam section me aap ka apna section hai..
Es me sb section bna dety haien "Histroy of Islam" phr aagy mazeed sub sections bhi bnay ja skty, Anbiya Karam k name sy, Sahaba Karam aur jis trha aap chahey?


Islam aur Science ka aps me kitna gehra talluaq hai??

Jo chezien ya ilm hamien 1400 saal pehly Islam ny dia, ab Science reserch kr k hamien wohi btati, aap es baat ko elebrote krna pasand krein ge?

Quran "Kalam ALLAH" hai No doubt, to aap kuch btana chahey ge es hawly sy apna personal tajurba?



Thank u Thank u
Nhi mazeed section ki zarorat nhi lagti abi mai books select kr rahi hon jo section hain wohi munsaib hain
Science is a subject of religion ....... science facts pe base krti hai or tehqeeq se waqt k sath sath haqeeqat ki traf jati hai lehaza science jitni traqi krti jaye gi islam ko utna hi support kre gi q k islam pehle se hi mukammal or haqeeqat per mabni deen hai.
G bilkul ..... islam k tmam tr ikhlaqiyat aadab sunnatain treeqy ALLAH Ta'ala k btaye hain jis ne hmari takhleeq ki science k zariye hum apni aqal se ghor o fikr k zariye inki hikmat ko smajne mai kamyab hoty hain.
Bila shuba Kalam e ilahi beshumar fazail or rehmaton ka bais hai lekin sb se maze ki baat ye hai k ise parh krdil ko skon milta hai or aisa mehsos hota hai jese ALLAH Ta'ala hum se batain kr rahy hain... magar isy smjny or faida uthany k liye sahi treeqa apnana lazim hai...