Zalim Tha Woh Aur Zulm Ki Aadat Bhi Buhat Thi
Majboor Thay Hum Us se Muhabbat Bhi Buhat Thi
Us Bot Ke Sitam She Ke Dikha Hi Diya Hum Ne
Gu Apni Tabiyaat Mai'N Bagawat Bhi Buhat Thi
Waqif Hi Na Tha Ramz-e-Muhabbat Se Who Warna
Dil Ke Liye ThuDri Si Inaayat Bhi Buhat Thi
Yu'N Hi Nahi'N Mashoor-e-Zamana Mera Qatil
Us Shakhs Ko Is Fan Mai'N Maharat Bhi Buhat Thi
Kiya Dur-e-Ghazal Tha Ke Laho Dil Mai'N Buhat Tha
Aur Dil Ko Laho Karne Ki Fursat Bhi Buhat Thi
Similar Threads:



Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out

Reply With Quote





Bookmarks