@Aliza Hum apni pitari kholne lage hain apne hawaas qabu main kar lain paani apne paas rakh lain jaise he gala khushak ho to thora sa p laina,Dimmagh par zayada zoor nahi daina ser dukhney ka dar hai , mujhe umeed hai ye lines parhne ke baad relax ho gaii hoon gee, aap se kafi swalaat kiye gaye hain maine koshish ki hai mere sawaal zara in se mukhtalaf hoon . Roman urdu aur urdu likhne main farq aa jata hai is baat ko nazar andaz karna zarori hai Ab aate hain apne kaam ki tarf ,Tayar hain agar nahi to jadi se tayari ker lain dekh lain koi aur kaam to nahi karne wala agar hai to wo b kar lain,

1- Aap ki cooking kaisi hai khane walon ka point of view kya hota hai?

2- Aap ki kaun c dish zayada pasnd ki jati hai?:D

3- Kya aap ka joint family system hai ?

4- Aap ki saas achi hai ya susar?

5- Aap shadi se pehle shohar ko janti thin?

6- Kya aap ke shohar aap ki family se hain?love

7- Outing par kahan jana pasand hai?running

8- Kya outing par khana bahir se khate hain ya ghar aa kar khate hain?bff

9- Shohar ko kaun sa dress pasand hai?

10- Aap un ko kaun se dress main pasand karti hain?

11- Aap ko shohar ki kaun c adat pasand hai aur kaun c na’pasand?

12- Aap dono khana akhte khate hain ya jis ko jab bhook lage kha laita hai?

13- Aap maikey kitne dino ke baad jati hain?yahoo

14- Kya aap ke shohar aap ko maikey chor kar aa jate hain ya wahan thehrna pasand karte hain?

15- Jab aap maikey jati hain to pehle kaun fone karta hai ,aap ya shohar?care

16- Aap kitne dino taka lag alag reh sakte hain?

17- Aap ki susral main kabhi larai huii agar ho to aap ka shohar kya role ada karte hain?fighting

18- Agar shohar se larai ho to sulah main pehal kaun karta hai?love fight

19- Ghar main nangey paon pherti hain ya jotey pehan kar

20- Serdi zayada lagti hai ya germi?



Baqi phir sahi