google.com, pub-2879905008558087, DIRECT, f08c47fec0942fa0
  • You have 1 new Private Message Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.
    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Results 1 to 2 of 2

    Thread: (History Of Dajjaal)

    1. #1
      The thing women have yet to learn is nobody gives you power. You just take it. Admin CaLmInG MeLoDy's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      6,203
      Threads
      2235
      Thanks
      931
      Thanked 1,366 Times in 867 Posts
      Mentioned
      1038 Post(s)
      Tagged
      7965 Thread(s)
      Rep Power
      10

      (History Of Dajjaal)

      "DAJJAAL" KYA HAI???

      • Dajjaal Qayamat Se Qabal Zaahir Hoga.
      –(Muslim Shareef)

      • Dajjaal Iran Ke Shaher Kharaasaan Se Niklega.
      –(Ibne Maajah)

      • Dajjaal Us Waqt Zaahir Hoga
      Jab Log Us Se Bilkul Gaafil Ho Chuke Honge.
      -(Ahmad)


      • Kisi Baat Par Gazabnaak Hona Dajjaal Ke Nikalne Ke Sab'ab Banega(Muslim Shareef)

      • Dajjal Bahar-e-Hind Ke Kisinaa Maloom Jazeere Par Zanzeeron Se Jakdaa Hua Hai.
      –(Abu Daood)

      • Madeene Ke Yahoodi Gharane Me Paidaa Hone Wala ‘Saaf’ Dajjaal Hai
      Jo Pehle Islaam Laaya Baad Me Murtad Ho Gaya,
      Dajjaal Ki Kuniyat Ibni Sayaad Ya Ibni Saayid Hai.
      –(Muslim Shareef)


      • Dajjaal Ki Ek Aankh Kaani Aur Uske Sar Ke Baal Ghungraale Honge
      Rang Surkh Aur Jism Bhaari Hoga.
      –(Bukhari Shareef)


      • Dajjaal Ki Dono Aankhon Ke Darmiyaan ‘Kaafir’ Likha Hoga.
      –(Bukhari Shareef)

      • Dajjaal Ke Sar Pe Bahut Zyada Baal Honge.
      –(Ibne Maajah)

      • Dajjaal Ke Paas Jannat Aur Jahannam Dono Honge
      Uski Jahannam Jannat Hogi Aur Jannat Jahannam Hogi.
      –(Muslim Shareef)


      • Dajjaal Ke Paas Paani Hoga Jo Asal Me Aag Hogi
      Aur
      Aag Hogi Jo Asal Me Meetha Paani Hoga.
      –(Muslim Shareef)


      • Dajjaal Ke Hukum Se Aasmaan Se Baarish Hogi, Zameen Se Ghaas, Anaaj Wagairah UgeGa
      Jaanwar Pehle Se Zyada Dhood Dena Shuru Kar Denge.
      –(Muslim Shareef)

      • Dajaal Ke Zaahir Hone Ke Baad Kisi Ka Imaan Lana Allah Ke Yahaan Qabool Nahi Hoga.
      -(Muslim Shareef)

      • Aadam (Alaihissalam) Se Le Kar Qayamat Tak Fitn-e-Dajjaal Se Bada Fitnaa Aur Koi Nahi Hoga.
      –(Muslim Shareef)

      • Jo Bhi Shakhs Dajjaal Ka Zamana Paaye
      Wo Dajjaal Ke Saamne Na Jaaye.
      –(Abu Daood)


      • Fitn-e-Dajjaal * Se Dar Kar Musalmaan Pahaadon Me Chhup Jayenge.
      (Muslim Shareef)


      • Dajjaal Duniya Ke Har Ek Shaher Me Daakhil Hoga
      Sirf Do Shaheron Ke
      Makkah Mukarramah Aur Madeenatul Munawwarah.
      –(Muslim Shareef)


      • Fitn-e-Dajjaal 1 Saal 2 Maah Aur 2 Hafta Hogi
      -(Muslim Shareef)

      • Iran Ke Ek Shaher "Asfahaan" Se 70000 Yahoodi Dajjaal Ka Saath Denge.
      –(Muslim Shareef)

      • Mote Aur Chode Chahre Waali Bahut Se Aqwaam Dajjaal Par Imaan Le Aayengi.
      –(Tirmizi Shareef)

      • Kaafir Aur Munaafiq Bhi Dajjaal Ka Saath Denge.
      –(Muslim Shareef)


      • Aasman Se Nuzool Hone Ke Baad Isaa (Alaihissalam) Musalmaano Ke Saath Mil Kar Dajjaal Ke Khilaaf Jihaad Karenge.Musalmaano Ko Fatah Hogi
      Aur
      Dajjaal Isaa (Alaihissalam) Ke Haathon ”Ladd” Ke* Maqaam Par Qatl Hoga.
      –(Muslim Shareef)

      • Dajjaal Se Jung Karne Ke Liye Musalmaano Ka Padaaw Dimashaq (Damascus) Ke Qareeb ‘Gotah’ Ke Maqaam Par Hoga.(Abu Dawood)

      • Isaa (Alaihissalam) Dajjaal Ko Khud Apne Teer Se Qatl Karenge.
      –(Muslim Shareef)


      • Daryaa-E-Urdun Par Bhi Dajjaal Se Ahle Imaan Ke Mo’arqah Hoga.
      –(Tibrani)

      • Dajjaal Ke Khilaaf Jihaad Me Ek Bhi Yahoodi Zindah Nahi Bach Paayega.
      –(Muslim Shareef)


      • Isaa (Alaihissalam) Ke Saath Mil Kar Dajjaal Ke Khilaaf Jihaad Karne
      Wale Musalmaano Ke Liye Jannat Ki Bashaarat Hai.
      –(Nasaee)


      • Ummat-e-Mohammadiyah Ki Aakhri Jung Dajjaal Ke Khilaaf Hogi
      Is Ke Baad Jihaad Khatam Ho Jayega.
      –(Abu Daaood)

      • Madeenah Munawarah Ke Saat Raaston Par Allah Do Do Nigraan Farishte Muqarar Farmaa Dega
      Jo Dajjaal Ko Madeenan Munawarh Me Daakhil Nahi Hone Denge.
      –(Bukhari Shareef)

      • Makkah Mukarramah Me Bhi Dajjaal Dakhil Nahi Ho Sakega.
      –(Muslim Shareef)

      • Ahle Imaan Ko Allah Fitn-e- Dajjaal Se Mehfooz Rakhega.
      –(Muslim Shareef)

      • Allah Ke Fazal Se Anpad Ahle Imaan Bhi Dajjaal Ki Paishani Par ‘Kaafir’ Lafaz Pad Kar Use Pehchaan Lenge.
      –(Muslim Shareef)

      • Jo Log Dajjal Ko Pehchaan Kar Apne Imaan Par Qaayim Rahange
      UnPar Dajaal Ka Koi Fareb Nahi Chalega.
      –(Muslim Shareef)

      • Dajjaal Ek Momin Aadmi Ko Aar Se Cheer Kar Do Tukde Karega
      Aur
      Zinda Hone Ka Hukum Dega Aur Dobra Qatal Karna Chahega
      Magar Allah Pak Us Momin Ko Peetal Ka Bana Dega Aur Dajjaal
      Use Qatal Nahi Kar Paayega.
      –(Muslim Shareef)

      • Fitne Dajjaal Se Bachne Wale Logon Ko Allah Duniya Me Hi Isaa (Alaihissalam) Ki Zubani Buland Darjaat Ki Basharat Dega
      –(Ibni Maajah)

      • Fitn-e-Dajjaal Se Bachne Ki Dua
      ‘Aye Allah Me Teri Pannah Maangta Hoon Azaab-e-Qabar Se, Fitne Dajjaal Se Zindagi Aur Maut Ke Fitno Se, Gunah Se Aur Karaz Se.
      –(Bukhari, Muslim* Shareef)

      • Surah Kahaf Ki Pehli Das (10 Aayaat Ko Yaad Karne Wale Shakhs Ko Bhi Allah Fitne Dajjal Se Mehfooz Rakhega.
      –(Abu Daood)
      *ALLAH Ta'ala Ham Sab Ko Dajjal Ke Fitne Se Bachaye!!
      Aameen. .













      Similar Threads:





    2. #2
      UT Writer www.urdutehzeb.com/public_htmlwww.urdutehzeb.com/public_html Ria's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Location
      khawabon aur khyalon me
      Posts
      2,272
      Threads
      130
      Thanks
      0
      Thanked 19 Times in 12 Posts
      Mentioned
      257 Post(s)
      Tagged
      4148 Thread(s)
      Rep Power
      49

      Re: (History Of Dajjaal)

      Suma Ameen...
      JAZAK ILLAH HO KHAIR
      very informative thread with Hadith and refrences...

      ایک یہی تو فن سیکھا ہے ہم نے
      جس سے ملیے اسے خفا کیجے
      ہے تفاخر میری طبیعت کا
      ہر ایک کو چراغ پا کیجے
      میری عادت ہے روٹھ جانے کی
      آپ مجہھے منا لیا کیجے

    + Reply to Thread
    + Post New Thread

    Thread Information

    Users Browsing this Thread

    There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

    Visitors found this page by searching for:

    Nobody landed on this page from a search engine, yet!
    SEO Blog

    User Tag List

    Posting Permissions

    • You may not post new threads
    • You may not post replies
    • You may not post attachments
    • You may not edit your posts
    •