assalam o alaikum

her kaam me Mahir Fan ki baat qabil e qobool aur maani rakhti hay.
Quran pak aur uski taleemat, fuyoozat o barkat se kisi ko koi inkar nahi na hona chahiye, balke poora poora yaqeen bina kisi shak ke hona chahiye.
me hairan ho jata hon ke ek taraf to sour he ke Quran phoonkne ke liye nahi aya, gale me dalne ke liye nahi aya, dosri taraf her insaan khud se Tabeeb aur moalij bana howa he. chand totke jo kitabon me darj ho un ke ker ke bary bary dawe kerne lag jaty hain.
Jab Quran ke fazail batay jain tu bahter he us me jo Zahiri Amal ka hukum mila unko bayan kia jay aur un per amal targheeb di jay. na ke uski tafseer ya haqaaiq aur bareekiyon ka ziker cheera jay.
kion ke ye elim itna asaan nahi ke kitabain parh parh ke aap aalim ban jain ge. her ilm ko janane ke liye uska seekhna lazim he.
Amalaiyat ka taluq hikmat se hey aur Hikmat ke Maani Israr o Romoz ke aaty hain. aur ISraar o romoz ka pa jana itna bhi asaan kam nahi he.
KHaas kar ke Amalaiyat me, jahan aap nadeedah dushman ke khilaf larr rahy hoty hain.

Barahy karam aisi suni sunai btaoon per Amal se gureez kijye. khas kar kitaboon me jo Amaal darj hoty hian un ko hergiz hergiz khud se na kijiye. ke ye jaan jo kham ka kaam he.
Dr. jo itna khof nahi hota kion ke ziadah se ziadah Mareez ki jan chali jay gi, Lakin amaliyaat me Aamil ki jaan ko bhi khatraat lahaq hoty hain. hamary samne aisy misaalain hian ke jin me logoon ko khud apny wujood ko aag laga dali.

tu lillilah en cheezon se parheez karain. namaz roza hjj zakat theek theek ada kijey aur Allah pak se masnon amaal aur duaaon ke zariye maded talab kijye. ager koi masla ho roohani ya jismani, tu kisi mahir se rujoo kijye.

wassalam
Shazli