watan ki mitti gawaah rehna... gawaah rehna

watan... watan... watan ki mitti gawaah rehna... gawaah rehna
watan ki mitti azeem hai tu
azeem tar ham bana rahe hain... gawaah rehna

tere mughanni ki har sada mein teri hi khushbu mehek rahi hai
har aik sur mein, har aik lay mein, teri mohabbat chamak rahi hai... gawaah rehna
watan ki mitti gawaah rehna... gawaah rehna
teri zameen ke yeh chaand, taary, hai jin ki aankhon mein pyaar tera
sadaaqaton ke diye jala kar barha rahe hain waqaar tera... gawaah rehna
watan ki mitti gawaah rehna... gawaah rehna
har aik dil mein teri lagan hai, teri hi jaanib har ek nazar hai
teri hifaazat ka azm le kar har aik apne mahaaz par hai... gawaah rehna
watan ki mitti gawaah rehna... gawaah rehna
watan... watan... watan ki mitti gawaah rehna... gawaah rehna
watan ki mitti azeem hai tu
azeem tar ham bana rahe hain... gawaah rehna
watan ki mitti gawaah rehna... gawaah rehna
gawaah rehna... gawaah rehna... gawaah rehna... gawaah rehna....
Bookmarks