Assalam o Alekum
Walaikum assalam.
idher tu sawalat ki bochar horahi hai tu mai ziada sawal nahi pochon ga
Phir bhi puch dale sawalat
1. ap life ko kese leti hain likekya samjhti hain keh life kis tarah jeeni chahye happy time aur sad time aatehain on ko kese ace karti ho ?
Insaan aik sa rahe.ye na ho k khushiyan milain to apay se bahar aurpareshaniyan aayen to munh bisor k baith jaye.
Sabar,dua aur behter k liye amalye policy honi chahiye.
2. Ap ki education kitni hai auris education k bad ap kya sochti hai is faida hona chahye jese koi job ya basghar bethna hai jo aam tor per larkian karti hain ?
Taleem bata chuki hoon.parhnay ka ya degreea lainay ka qatai ye matlab nahihota k larki lazman nokri kare hi kare.husol e ilm farz hey.har mard o auratpar.aur husol e ilm ka maqsad shaor baidar karna hota hey.achay bure,sahi ghalat sikhana hota hey.tameez tehzeb ka dars dena hota hey.par yahan mamla bilkul ulta hey.degree lay laitay hein,baqi ikhlaqiyat ko bhola hi diya hey.
3. ap ko computer mai kitnaintrest hai ?
Jitna kaam ho.
4. ap ne computer use krna kab se shoro aur apka 1st computer konsatha?
Angreezon k zamane ki nahi hoon.2000 se use kar rahi hoon.
pehla pc i think P2 tha.
5. ager ap ko like mai moka mile kisi ek insan ki help karni hai tu ap kis kikaro gi ?
jo Allah ka banda madad ka talib hua usi ki.
Bookmarks