Hum parwarash-e-loh-o-qalam karte rahenge
Jo dil pe guzarti hai raqam karte rahenge



Asbaab-e-gham-e-ishq baham karte rahenge

Viraani-e-dauraan pe karam karte rahenge



Haan talkhi-e-ayyaam abhi aur barhe gi

Haan ahl-e-sitam mashq-e-sitam karte rahenge



Manzur yeh talkhi yeh sitam hum ko gawaara

Dam hai to madaawa-e-alam karte rahenge



Maikhana salaamat hai to hum surkhi-e-mai se

Tazzain-e-dar-o-baam-e-haram karte rahenge



Baqi hai lahu dil mein to har ashk se paida

Rang-e-lab-o-rukhsar-e-sanam karte rahenge



Ek tarz-e-taghaaful hai so woh unko mubaarak

Ek arz-e-tamanna hai so hum karte rahenge