chorii kahiiN khule na naseem-e-bahaar kii
khushbu uRha ke laayi hai gesoo-e-yaar kii
Allaah rakhe uska salaamat Ghuroor-e-husn
aankhoN ko jisne dii hai sazaa intezaar kii
gulshan meN dekh kar mere must-e-shabaab ko
sharmaaii jaa rahii hai javaanii bahaar kii
ai mere dil ke chain, mere dil kii roshani
aa aur subah kar de, shab-e-intezaar kii
ai "Hashr" dekhna to yah hai chaudaviiN ka chaand
yaa assmaaN ke haath meN tasveer yaar kii
AaGha "Hashr" Kashmiirii
Similar Threads:



Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out
Reply With Quote

Bookmarks