fusuun-e-harf le gaya, tilism-e-khvaab le gayaa
warq warq usi ka tha wohi kitaab le gayaa

abhi nigaah jhuki na thii, ke maiN ne hoNTh rakh diye
sawaal voh na kar sakaa, magar jawaab le gayaa

mujhe pataa tha raah meN chiraaGh jal na paayega
vahaaN gayaa to apne saath maahtaab le gayaa

froGh-e-jism-e-taazaa se, khumaar rang-e-Ghazaa se
nashaa bahut baRha gayaa, magar sharaab le gayaa

meri azal ki tishnagi, bujhaa gayaa vo narm dil
ishaat-e-aab de gayaa, Gham-e-saraab le gayaa

thaa dekhne meN saadaa dil, magar baRha zaheen thaa
mujhe gunaah_gaar kar ke, voh sawaab le gayaa

nigaah-e- imtiyaaz ka shikaar maiN hua "Imam"
yahaaN voh khaar de gaya, vahaaN gulaab le gaya

Mazhar "Imam"



Similar Threads: