arah-tarah kii museebat aur ek jaaN ke liye
kahaaN pe bhej diya toone imtahaaN ke liye
har ek raasta masdood hai baGhair-e-junooN
Khirad hai koh-e-garaaN azm-e-naujavaaN ke liye
ajeeb cheez hai qismat kii naa_rasaai bhii
qadam liye bhii to kambaKht paasbaaN ke liye
vo saath chhoRh ke baiTheN, jo saath chal na sakeN
balaa-e-jaaN na baneN poore kaarvaaN ke liye
hamaare naam se surKhii-e-daastaaN na sahii
hamaara Khoon to haazir hai daastaaN ke liye
quyood-e-ishq kii majbooriyaaN ! are taubaa
zabaan rakh ke bhii tarsaa kiye zabaaN ke liye
Khataa muaaf ijaazat mile to kuchh poochhooN
akele raat meN nikle ho kahaaN ke liye
mirii nahiiN mire sajdaoN kii aabaroo rakh le
ki mera sar nahiiN auroN ke aastaaN ke liye
"Nazeer" faasla-e-umr ab tamaam huaa
vahaaN kii fikr karo aaye ho jahaaN ke liye
''Nazeer" Banarasi
Similar Threads:
Bookmarks