Mairay Naseeb ki baarishain
Pardais mai hoti raheen

mai yahan tarasta raha
wo wahan barasti raheen

jul thul jul thul us ki waadi
tapta sahra maira dais

saji wahan mahfilain
chandnion ki tarhan

yahan intizaar ka
gahra sakoot chaya raha

wahan lagi raunaqain
reshmi muskanoo sai

yahan phaili udaasiaan
ghamgheen taranoon sai

Bae Khabr hain subhi
mohabbat k on parwanoo sai

jal gayay jo bina
shamma k nazranoon sai

Raqsaan raheen titliaan
us k haseen baghaat mai

Mairay chaman ki gulhairiaan
Ujjri jarrain Bhattakti raheen

Wahan khizaan bhi bahaar hui
yahan bahaarain khizan hueen

wahan jaltay diioon ka
hawa bhi na kuch kar saki

yahan mairay chanda ko
Girhaan daikho khaagaya

us k wahan khuwaab mai
soorat kabhi na ubhrii mairi

yahan saari zindagii
Us hi ki moorat ho gaii

nahin y kismat ka faisla
y thaiirra muqaddar maira

saza hai jo musallat hui
jurm e wafa k iqraar ki

k Mairay Naseeb ki Barrishain
Tairay dais mai hoti raheen

mai yahan tarasta raha
wo wahan barasti raheen



,...............,

meer


Similar Threads: