Aap ke sir ne aap ko pics ka eik rukh dikhaya hay, pics ka dosra rukh dikha dete to boaht acha hota,

Aise log jo abroad aate hen jin ke pass koi skill nhi hoti un ke haalat bohat kharab hoti hay, Un ko paise bhi kum milte hen ur un ki koi care bhi nhi kerta, Mager aise log jin ke pass koi skill hoti hay wo achi hallat men hote hen, Ur aise log jo supervision, engineering, administration, ya management men hote hen, wo bohat hi achi haalat men hote hen,

JIs dost ka aap ne hawala diya keh wo aadhi roti khata hay aadhi bacha leta hay to yeh us ki apni nature men hay, Aise bohat se log hote hen jo selfish hote hen, jo dosron ke bare men nhi sochte to dosre bhi in ke bare men nhi sochte, So Abroad men ager kisi ki halat aisi ho to us ke ass pass rehne wale atleast food pe zaror us ko sharing dete hen,

Me khud managing post pe hon, Ur Alhamdulillah kisi chiz ki kami nhi hay, Transport hay, accommodation bohat achi hay, Food bhi acha hay, Hoteling bhi hoti hay, Beach pe bhi jata hon, Doston ke sath mil ke weekend pe party bhi hoti hay, Ur shaeyed ager me Pak men job kerta to itta acha me ko package nah milta.

So U itte mehnat kro keh jub u abroad aao to u ko achi post mile. Ur u apne Abbu se keh sko keh ub aap ghar jaa ke araam karen, Main hon na,