Quote Originally Posted by CaLmInG MeLoDy View Post
hmm.. are wah..Nimra tum likh bhi leti hon..kahin hath dukh toh nahi gaye..maathe pe shikan toh nahi par gai likhte likhte..in nazuk mizaaj logon ka likhna likhaana...bath:..haye haye..

khair..mazah apni jaga..magar acha likha hai kafi.. haqeeqat ke qareeb tar.
pehli bat..roothta toh insaan maan se hi hai..magar koi nahi mana raha..iska matlab hai ke..wo aap ke qaabil nahi.. ye aisa moqa hota hai. jab ham is bat ka andaza laga sakte hain..ke kis ko hamari khushi azeez hai ..aur kis ko apni..jis ko sirf apni khushi azeez ho.wo kabhi nahi manaata..

lakin aik aur zindagi ki haqeeqat bhi hai..wo ye ke.ye forumula jo abhi main ne bataaya..wo real relations par laagu nahi hota hai..kion ke..apne waaldain, behen bhai, husband wife..bohot hi mushkil se aik doosre ko manaate hain..shaaz-o-naadir hi..

par ye falsafa mehboob pe laagu hota hai..mehboob agar nahi mana raha..toh samajh lain ke usko apni khushi azeez hai

toh bataow azeeza..moaamla kia hai..
Bus janab kabhi kabhar es trf yaani Likhnay per b zor azmaeee ker lete hain
Baja farmaya aap ne

Mamla kuch bhi nahi
bus observation the
mood kharab tha
likh dala
me aksar poetry ya writing kharab mood mein he karti hun