Mazeed ye k case ki noiyat muddayi ka aik bachgana qadam hai........yani agar ap doston se naraz hain to case adalat mai le jayen
mjy to yaqeen hai agar in k birth day pe ja k wish kia jata to ye hmain cake ka barha piece apni plate mai rakhny pe case krwa deten
ya phir gift pasand na ata to us pe muqadma gharz jahan masoom log dekhy apni hasratain pori krny k liye case kr k khud mazloom ban gaye.
Kisi ne hum se na pocha k kia hal hai .... 3,4 din se bukhar tha (health center se reports saboot k tor pe paish kr skti hon) apna hosh nhi tha bjaye ayadat k in muhtarma ne apni birth day party manayi ab hmain bukhar oper se dementia ka masla ap hi btaiye kon haq bjanib hai
@bdunc @ullu ka patha
or mazeed ye k agar inhon ne khudgharzi mai ye qadam utha hi dala to bazurgon ki naseehat ko framosh kia jo case krny se pehly apas mai mamly ko bkhobi anjam deny ko awwalain tarjeeh dety rahy.....
Mutarman tulsa agar aisy case shumar kiye jany lagy to bigarti hoi nojawan nasal or khrabi ki traf mayel hogi
is liye mai adalat se darkhwast krti hon k iski hosla shikni ki jaye or filhal muhtarma @CaLmInG MeLoDy ko pyar se warn kr dia jaye (pyar se ku k ye hmain chahy dushman smjain lekin hm dosti ka haq ada krain ge) or mazeed ye k agar in k liye parties hum se zyada eham hain to hum mazrat krty hain tah e dil se ku k hm nahayat hasas or sula jo hain (Jesa k ap ne dekha) or yaqeen duhani krwaty hain k ainda khayal rakhain ge (chahy hm pe na jaiz muqadma hi krwaya pr hum apni achayi se majbor hai)
or inki narazgi dor krny ki koshish krain ge agar ye moqa dain
@Nimra Rashid ..........kesi rahi phir waqalat?
Bookmarks