Quote Originally Posted by CaLmInG MeLoDy View Post
Q1: theek tou tum hogi hi,ya batao nashtay main kiya khaya...logon k
maghaz k elawa?

naashta toh baraiye naame hota hai mere. aaj bohot ziaada khaa liya toh aik bread slice. warna aik aadh buiscuit se kaam chal jata hai.

Q2: ghar main kaun kaun tum say panah mangta hai?

ittifaq se koi nahi. pannah ki bajaye time maangte hain

Q3: kis ki shamat sab say ziyada ati hai jab tum apni zubani topon ka rukh uski taraf morti ho?

haye kisi ki bhi nahi. oonchi awaz main toh bat karni aati hi nahi hai mujhe. haan ghussa agar utaarna ho toh bas ghar ke chote bachoun pe wo bhi is bat pe ke tv ki awaz kam karo

Q4: bolnay ka ye shoq paidaishi hai ya baray honay k baad tumhain ye demaghi khalal waqay hua?

ye khalaal sirf net ki had tak mehdood hai. aur net main ne almost 2004 main use karna start kia..bas tab se jo meri zubaan ne typing ka qalam thaama hai. rukne ka naam hi nahi le raha . warna aik hi sister hone ke hawale se ziaada batain nahi karti kabhi bhi.

Q5: likhti ho aur humaray parhwa kar sar main dard bhi karti ho,,ya batao kiya parhti bhi aisi hi kitabain ho?

adab ke hawaale se kitaboun se koi khaas afaaqa haasil kia nahi hai main ne. .ye likhna likhaana bas apni soch ko kaaghaz par utaarna hai. aur jo soch zehen main aa rahi hoti hai.joon ki toon kaghaz par utar aati hai..had toh ye hai ke phir isko edit karna bhi mushkil se hi gawaara karti hon.aap ba hesiyat ustaad sath deti raheen toh editing bhi karoongi apni writings main

Q6: kiya asaan hai,zindagi tou parhna ya jeena?

dono mushkil hain. magar in ko aasaan banaaya ja sakta hai..dono baatoun ki taraf se la parwaah ho kar. bas jiye jaow.aur khud ko khush rakhe jaow.

Q7: shuker hai tum aik ho,agar do hotin tou kiya hota?

main aik hoon..is ka nuqsan hai. akele pan ka shikar ho jati hon.do hote toh ye akela pan nahi hota.

Q8: pasandedah drmai kirdar?

mujhe riwaaiti kirdar pasand nahi aate. rona dhona..daramas ya movies chehekti pharakti honi chaahiye.. jaise ke aaj kal aik pakistani drama hai bashar momin, us main faisal qureshi ka kirdaar . aur jaise aik indian movie thi company us ka negative kirdar abhi yad nahi aa raha. bas is type ke kirdar pasand hain.

Q9: itnay puranay ganay kiyun sunti ho?

mohabat hai puraane gaanoun se ..sirf ye soch kar ke ye mere abbu ki pasand hain.. aur ye soch mujhe aksar rula deti hai ke ..Allah na kare kabhi ye waqt bhi toh aaye ga ke ye aawazain mere kaanoun main khud se kabhi nahi jaaye gi. Allah pak mere father ko sehat tandurusti aur lambi zindagi se nawaaze aameen.

Q10: bharat say itna piyar kiyun hai tumhay?

hmm. I am a pure pakistani.. haan par wahan ka culture almost ham se milta julta hai..magar wahan ke dramas mujhe bilkul bhi nahi pasand. pyar toh nahi kaha ja sakta..han par nafrat bhi nahi hai mujhe bharat se.


abhi k liye itna hi..............baqi baad main tumhay maza chakhaon gi,k abhi tou bazi shoro hoi hai

kion dara rahi hian jee

aap sab bhi aaiye,pehlay welcom kijiye aur phir apnay sawalat..........lekin koi behudgi ka muzahira nahi ho,aur sawalat aisay hoon k rubby darling ko bhi lag pata jaye,,,,,,,,,interview main interval kaisay hota hai........hahahahhaha


waiting ji waiting..

Mamin Mirza
kitnay achay achay main ghair sanjeeda sawalat kiye thy,
tum ne wahi falsafiyana andaz ikhityar kar k sab kiye karaye par pani phair diya,
aisi durgat banai hai meray sawalat ki k al aman alhafeez
ab main tum say wahi lagay bandhay sawal karon gi jaisay k

Q1: aapne raat ka khana theek say khaya,,,,,,,,,,khanay main kiya pakaya?
Q2: soti kis waqt ho.......macharon say dosti hai ya sari raat jang karni parti hai,meri tarhan?
Q3: high heel pehanna pasand hain ya nangay pair hi ghomti ho ab tak bachpan ki tarhan?
Q4: sari pehan ki kabhi munh k bal girin?
Q5: din main taray nazar anay ka koi waqiya kabhi waqu pazeer hua ho tumharay saath tou bayan karo,woh bhi intehai ghair sanjeedgi say?