@Mamin Mirza
kitnay achay achay main ghair sanjeeda sawalat kiye thy,
tum ne wahi falsafiyana andaz ikhityar kar k sab kiye karaye par pani phair diya,
oh ab pani phair dia hai toh zara wiper ache se lagaaiye ga...
aisi durgat banai hai meray sawalat ki k al aman alhafeez
kabhi gharoor nahi kia is harkat par..
ab main tum say wahi lagay bandhay sawal karon gi jaisay k
ab aap mera ullu seedha kar chuki hain.toh main ab ullu ban gai honab koi seedha jawab nahi milne ka.
Q1: aapne raat ka khana theek say khaya,,,,,,,,,,khanay main kiya pakaya?
khaane main kisi dish ka intizar nahi hota.. bas kisi ka bhaija fry hone ki dair hai..usko chaatne baith jati hon. us se bhi pait nahi bhara toh yahan aa baithti hoon
Q2: soti kis waqt ho.......macharon say dosti hai ya sari raat jang karni parti hai,meri tarhan?
arre macharoun se kia darna..wo mujhe kia kaathain ge..main hi unko kaath khaati hoon . aap kahain toh aik love letter aap ke naam arsaal karon.aur us main ghar ke tamaam macharoun ki laashain bhi post karon .
Q3: high heel pehanna pasand hain ya nangay pair hi ghomti ho ab tak bachpan ki tarhan?
haye haye.main toh high heel bardaasht kar leti hon.par high heel mujhe bardaasht kare tab na. ye aap ko kaise pata chala ke main nanng pairiyaa hoon
Q4: sari pehan ki kabhi munh k bal girin?
ab ke gir hi jaoongi lagta hia
Q5: din main taray nazar anay ka koi waqiya kabhi waqu pazeer hua ho tumharay saath tou bayan karo,woh bhi intehai ghair sanjeedgi say?
ji abhi aap ne taare hi toh ginwaa diye hain. ab taare tor laane ki himaqat toh ham ne kabhi ki nahi..ginn zaroor leti hoon . aur maze ki baat .door se aik taara chaar taare ki tarha nazar aata hai.phir andaza lagaaiye kitni jaldi ye taare gine jaate honge mujh se.![]()
Bookmarks