Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.
Assalam o Alaikum.
Nihayat Aala o Umda Tareen Post.
koch Koch Baate es Mai Muj Se Related hain or Bas Farq sirf itna sa hai k Ye Ek Larki ki Kahani thi or mai Ek larka.
Mai Ne Deen mai kahin Parha tha K Mard ko Hakim banaya gaya hai orat pe or Hakim ko Parh soch k Mere Mind mai Ek Hakim ki Image ubharti thi
K
Hata Kata Mota taza Onche Lambe Qad Ka Admi jis k Haath mai Ek Chaanta ho or same Ese he jese Ek Kooch waan k Haath mai Chaanta hota hai jis se Vo Tanga Mai Jute Howe Gohre ko hankne k liye os k kamar pe zoor zoor se marta hai esa he koi admi hakim hota ho ga ya Phir Koi Wadera Type ki image mere mind mai banti k Hakim ki Monche Bari bari or Lambe Baal or sar pe pagri ho or cluff ka suit pehna ho or Vo khud Opar or os k gulam niche bethe howe saain saain kar rahe ho hakim esa hota ho ga
Par
Koch Din Pehle He Muj pe RABB REHMAN ki Taraf se Hakim Ka Sahe Mafhoom o Maini khula Aey Bande Hakim kio Banaya Admi ko orat pe or Asal hakim Kon hota hai
To
Hakim Hikmat se Nikla hai Na K Hakim k maini Hakumat karne wala Apni Jaiz O Na jaiz Baat manwane wala.
To Admi Hakim Apni Hikmar o Danish Mandi se hai Esi liye RABB REHMAN ne Farmaya k Mardo ko Orato pe Hakim banaya gaya hai Ta k Vo Ghar ki Orato k sath Hikmat se kaam le unhe Maa behn,bv,beti baho sab aa jati hain ot agar mard ne 4 Shaadiyan ki hain to ye baat un pe bhi lago hoti hai k Mard Orato pe hakim hai yani 4 bvio K sath hikmat k sath chale.
To Sabit howa k Hakim Hikmat o danai or danish mandi ka naam hai na k Hakim Bari monche rakhna,orato pe hath othana,unhe insaaf k sath le k na chalna,orato k haqooq Gazab karna,orato ko apni baandi ya lundi tasawar karna hai.
RABB REHMAN muje Or Har Mard Ko Sahe Maino Mai Hikmat se Mala maal bana k Hakim banaey,Ameen.
Pls ek bar Darood Pak parh le
Last edited by singer_zuhaib; 11-27-2014 at 06:48 PM.
Maktab E Ishq ka Dastoor Nirala Dekha
Os Ko Chutti Na Mili Jis Ne ''Sabaq Yaad'' Kiya
Talaash E khudi
There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)
Bookmarks