SHAREHOLIC
  • You have 1 new Private Message Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.

    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Page 2 of 2 FirstFirst 12
    Results 11 to 12 of 12

    Thread: Rodad e Mamin

    1. #1
      Charagh e Aab...........! www.urdutehzeb.com/public_htmlwww.urdutehzeb.com/public_html Mamin Mirza's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Location
      Uroos Ul Bilad,Sheher e Qaid.....Karachi..!
      Posts
      2,368
      Threads
      338
      Thanks
      1,026
      Thanked 1,107 Times in 704 Posts
      Mentioned
      346 Post(s)
      Tagged
      3232 Thread(s)
      Rep Power
      59

      Chess Rodad e Mamin


      1-how are you? aur yahan is hot seat pe baith ke kaisa lag raha hai.

      bohat buri..........baitha kaun hai,kharay kharay jawabat dagh rahi hoon.

      2-ye bataiye sab se pehle aap ke zehen main aisa koi sawaal aaya keh kahin ruby ye na pooch lain, agar aisa koi sawal aaya zehen main toh wo sawal kia tha.aur uska jawab kia hoga.

      haan,aur woh ye k rubby darling ko sawal nama banana kab aye ga.

      3-apni family aur baaqi qareebi logon ke bare main kuch batayain..???

      amma abba,bha aur chotay mirza sahab yani chota bhai,ye kul arakeen hain meray gharanay k.
      qareebi tou chota bhai hai sirf.


      4-aap ke friends kitne hain, aur dostoun ko aap apne kis qadar qareeb rakhte hain?


      0.......................sifar,zero aik bhi nahi.mujhe dosti karni ati nahi,aur hoon bhi behad mushkil insaan,meray saath guzara karna mushkil tareen amar hai zindagi ka.log do jumlon k tabadlay k baad hi bad dil ho kar rukh badal kar chal detay hain.isliye iss rishtay say daman khali hi hai.haan kuch par sahailiyun ka guman tha,student life khatam honay k baad sab piya des sudhar ka ghar,miyan bachon main masroof hogain,un say koi shikayat nahi.age barhnay walon ko kiya zaroorat pari hai k pechay reh janay walon ko murr kar dekhain,unka haal puchain
      .

      5-waaldain toh hote hi bohot pyaare hain, par kisi aik ke qareeb ham ziaada hote hain. aap kis ke qareeb ziada hain? ammi ya abbu?

      na amma,na abba,nani aur chotay mirza sahab,in do hastiyun k qareeb thi,ab aik k hoon.kiyun k nani ka inteqal hogaya hai.

      6-aap ki age, qualification, feild, aur job se related information?

      bata chuki hoon,ab nahi bataon gi.


      7-aap khud toh zaahir hai apne baare main raaye dena nahi chaahainge, magar apne moonh miyaan mithoo hona chahain toh most welcome. magar apni friends ki nazar main bhi ya baqi logon ki nazar main aap ki over all look kaisi hai?


      insaan lagti hoon,aik mukamal insaan.Allah ka shuker hai.

      8-khud main aap ko sab se ziaada Allah pak ki di hui naimatoun main se kia pasand hai?(face features).mujhe pata hai agar main is question ko define na karon toh aap toh baal ki khaal utaar lainge..???

      Aankhain aur palkain.

      9-mizaaj ke kaise waaqe hue hain????

      tund,taiz,talkh,bad mizaj.kaha na aik mushkil insaan hoon jis k saath guzara karna na mumkin ki had tak mushkil hai.ghar walon ka hi jigra hai mujhe bardasht kartay hain.

      10-adab se koi dilchaspi?

      bari beadab hoon,saza chahti hoon.

      11-life ko entertain karne ke liye aap ka man pasand mashghala??

      sochna,sochna aur sochna......na chahtay hoye bhi.
      sochnay say fursat milay tou,kitabain parhna,likhna(kabhi tha),milli aur fauji naghmay sunna.


      12-man pasand food and drinks?


      chatt,cholon ki chat,gol gappay,chanay ki dal bhunni hoi aur juices.specially falsay ka juice.

      13-bachpan, jawaani ya burhaapa..in main se konsa time period aap ke lehaaz se best hota hai???

      bachpan,na fiker na faqah,aaish kar kaka.

      14-insan ko zindagi ke ye phases kaise guzaarne chaahiye define karain, childhood,young age,old age.???

      bachpan apnay bas main hota nahi,
      maa baap aur asataza jis sanchay main dhal dain,jawani wesi hi guzarti hai.
      aur burhapay main insaan siawaye kaf e afsoos malnay k kuch nahi karta.
      so,guzarni chahiye ka jawaz paidah hi nahi hota,kiyun k guzarni nahi zindagi ka koi bhi hissa ho,jeena ba haissiyat musalman usi tarhan chahiye jis tarhan k aik musalman ko kaha gaya hai
      .

      15-UT par bohot hi mehdood list hai aap ke friends ki.. ..aisa kion?


      kiyun k main dosti karti nahi,aur bohat sakht qisam ki reserve insaan hoon.

      16-rich, poor, middle class..in teenoun classess ki best and bad characteristics define karain?


      iss say asaan sawal nahi mila tha puchnay ko.

      17-farz karain..jabrann(zabardassti) aap ko snow falling main le jaaya jaye. wahan jaa ke coffee ya tea bhi nahi balke soup bhi nahi peene dia jaye.balke aap se kaha jaye ke dhair saari ice cream khaaiye..toh aap kia karainge?


      naiki aur puch puch.behan karachi main rehnay walon ki hassrat ka tumhay andaza nahi hai.hum yahan 4 mah garmi k guzartay hain baqi k 8 mah shadeed garmi k tou humaray liye bilkhosos meray liye tou rihai ka parwana hi hoga ye jabar.


      18-zindagi ke kisi faisle ke waqt pe agar aap ke samne majboori ya sacrifice ka option aa jaye.toh aap konse option ko choose karne waale hain?


      main thehri aik khud gharz insaan,tumhay lagta hai k main aisa kuch kar sakti hoon matlab qurbani waghera waghera.

      19-dressing kaisi hai aap ki? man pasand dress kia hai?


      ab iska main kiya jawba don.dressing kaisi hai meri.
      frok aur chori dar.


      20-zindagi se kia haasil kia? aur kia seekha..???

      hasil.........dukh,takleefain,pareshaniyan,hassrat ain,adhori khuwahishain,tootay bikhray khuwab.be chaini,bad sakooni.
      seekha.............yahan koi nahi kisi ka......ye duniya aik bohat buri jagah hai,,,,,bohat buri.


      bassssssssssssssssss............chain agaya tumhay @CaLmInG MeLoDy


      Similar Threads:
      !میری زمیں میرا آخری حوالہ ہے۔۔۔۔

    2. #11
      Genius Poet www.urdutehzeb.com/public_html illusionist's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      831
      Threads
      202
      Thanks
      34
      Thanked 39 Times in 22 Posts
      Mentioned
      87 Post(s)
      Tagged
      3530 Thread(s)
      Rep Power
      39

      Re: Rodad e Mamin

      Acha Khulasa hai ...... Thanks for sharing .


    3. #12
      Family Member Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982 afaq ali's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      85
      Threads
      0
      Thanks
      31
      Thanked 43 Times in 21 Posts
      Mentioned
      11 Post(s)
      Tagged
      2723 Thread(s)
      Rep Power
      10

      Re: Rodad e Mamin

      Maza aya Robi doobi du <<<<<


    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Page 2 of 2 FirstFirst 12

    Thread Information

    Users Browsing this Thread

    There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

    Visitors found this page by searching for:

    Nobody landed on this page from a search engine, yet!
    SEO Blog

    User Tag List

    Posting Permissions

    • You may not post new threads
    • You may not post replies
    • You may not post attachments
    • You may not edit your posts
    •