bazaahir tezz tarraaar nazar aane waale..par dil ke saade insan lage hain aap..aap ke interview se.. pata nahi log mazeed sawal kion nahi pooch rahe hain yahan..

logo aur sawal bhi poocho.

meri janib se mazeed sawalat.
1-shadi kab kar rahe hain
2-shadi ke liye ideal larki , matlab aap ki kia khuaahish hai ke larki kaisi ho..uski nature etc..
3-shadi apni pasand se karne ka irada hai ya ghar waloun ki marzi se?
4-khud ko aaine main daikh kar kia khayaal aata hai
5-is net ki dunia se kab talluq jura. aur mazeed kia iraade hain yahan kuch kar guzarne ke?
6-farz karain aap ka dil chaahe ke aap kisi ko kuch bhi gift karain..toh wo gift kia hoga..both to female and male
7-deen se kis qadar lagaow hai?
8-bolne ka andaz kaisa hai.thora sa ap ka style bata dain..l
9-khane main mirchian ya namak tez lage aap ko toh kia reaction hota hai ap ka
10-desi food main fav kia hai..

filwaqt ye hi..baqi baad main.. in ke jawab dain.