google.com, pub-2879905008558087, DIRECT, f08c47fec0942fa0
  • You have 1 new Private Message Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.
    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Results 1 to 2 of 2

    Thread: Baarish

    1. #1
      The thing women have yet to learn is nobody gives you power. You just take it. Admin CaLmInG MeLoDy's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      6,203
      Threads
      2235
      Thanks
      931
      Thanked 1,366 Times in 867 Posts
      Mentioned
      1038 Post(s)
      Tagged
      7965 Thread(s)
      Rep Power
      10

      Baarish

      • kuch waqt pehle..taqreeban saal pehle barishon ka aik aisa
        khoobsoorat silsila shroo hua tha k rukta na tha.us waqt apne
        kamre ki khirki se main ne barish ko daikh k kafi kuch likha tha
        par barish k bare main us k baad bar bar likhne ko aur barish ki
        khoobsoorti ko bar bar mehsoss karne ko jee chahata hai
        subh ka waqt tha,door se garaj chamak ki awazen aa rahi thi..aur
        roshni itni ziada na thi toh kuch sham ka guman hota tha..halki
        halki barasti barish youn tez hoti gai jaise kisi khoobsoorat
        safar pe rawan kisi musafir ki raftar..youn girte pani ka shor
        ,,pani ki taiz dhar aise kanon ko sunai de rahi thi jaise koi
        rythem ho.khamoshi charon taraf..kehne ko toh poora sheher jaag
        raha tha magar barish k shor main sab khamosh lagte the..koi
        ikka dukka tez barish main bhagta hua kabhi is taraf kabhi us
        taraf chala jata tha..goya us ko guman ho k barish kabhi thame
        gi hi nahi..
        youn tez barish k khof se kamre ki adh khuli khirkion se barish
        ka thanda behta pani,aise beh raha tha jaise kab se yeh
        khirkiyan intzar main theen k barish barse aur in pe jami dhool
        ko dho de.pani tah k thamta hi na tha.. lag raha tha jaise is ki
        thandak dil main utar gai ho.khuahish thi k yeh thandak ka ehsas
        kabhi khatam na ho
        youn tez bochaar aasmaan se zameen ki taraf aa rahi thi jaise
        koi fauj ho joh zameen main dhanse ja rahi hai..aur aik k bad
        aik aik k baad aik fauji zameen main utarne ko taiyar hai rukti
        bhi toh na thi woh fauj..bara khoobsoorat manzar tha..tez barish
        ne manzar ko bhi toh dhundla dia tha.magar phir bhi door hare
        bhare darakhta jin ko kahbi thandi hawa choo jati toh aise jhoom
        uthte goya is hawa k choone k hi muntazir the.......aur youn
        barishon se dhule ja rahe the jaise na jane kab se is k hi
        intizar main piyase khare the.......in ki sabzi aur bhi nikhar
        gai thi..in k patton se pani bhi youn tapakta tha jaise koi pani
        ko apne hathon main le k youn zameen pe phainkta ho k jaise
        zemeen ko is hi andaz main girta pani pasand hai..............
        barish main woh thankdak thi jaise barson ki thandak aik hi waqt
        main in darakhton ne apne andar sama li ho.aur in darakhton pe
        bane parindon k ghosle barish ki taizi se parindon ko chupa nahi
        pa rahe the.parindon ne bhi toh barish ko mehsoos
        kia........kabhi us mundair kabhi is mundair apne par pharphara
        k aise pani ko jhatakte jaise barish kab ki tham gai..jaise apne
        paron se wazan jhatak dia..magar barish phir un ko bojhal kar
        jati.
        jee main aata tha k yeh thandak ka ehsas ..yeh mosam ki
        taazgi..yeh hawa ka chalna ..yeh pani barasna..yeh haryali yeh
        barish ka shor,barasti barish ki tezi,logon ka dar dar k
        chalnasab zindagi ka mustaqil hissa ban jayen..magar kaise
        ..mosam toh aate jate rehte hain..kabhi yeh mosam sard toh kabhi garm..
        .bas younhi is barish ko daikhte daikhte kab sardi ka
        ehsaas hua aur kab be dhiyani main khirki ko band kar liya yaad
        hi nahi raha..par yaad raha toh sirf woh manzar joh ab bhoolta
        nahi..k kaise barish dilon ko tar-o-taza kar jati hai..kaise
        thandak dil main utar jati hai..kaise khiyalat ko alfaaz mill
        jate hain..aur kaise...alfaaz ko bayan mill jata hai........


        written by ruby akram




      Similar Threads:





    2. #2
      Moderator www.urdutehzeb.com/public_htmlClick image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982
      BDunc's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      8,431
      Threads
      678
      Thanks
      298
      Thanked 249 Times in 213 Posts
      Mentioned
      694 Post(s)
      Tagged
      6321 Thread(s)
      Rep Power
      121

      Re: Baarish

      KHoob


    + Reply to Thread
    + Post New Thread

    Thread Information

    Users Browsing this Thread

    There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

    Visitors found this page by searching for:

    Nobody landed on this page from a search engine, yet!
    SEO Blog

    User Tag List

    Posting Permissions

    • You may not post new threads
    • You may not post replies
    • You may not post attachments
    • You may not edit your posts
    •