Baaz dafa jo cheez ap ko nazar aati hai wo faraib hota hai. nazar ka dhoka. Aur jab tak ye baat pata chalti hai bahut dair ho chuki hoti hai. Itni dair k na ap aagay ja saktay hain na peechay.

*******

Hamaray liye 24 ghanton main paanch baar Allah ko yaad karna bahut mushkil hai, laikin hum yeh chahtay hain k Allah 24 ghanton main har pal hamara khayal rakhay. Humain har nuksaan se bachaye, humain har uss cheez se nawazay jis ki humain khawahish hai.
Aur agar in main se koi aik cheez bhi na ho tu hum Allah se shikwa karnay lagtay hain. Ussay batanay lagtay hain k uss ne humain kitna bad-kismat banaya hai. Apni mehroom’ioon ka matam kartay hain.

*******

Baaz dafa khamoshi wajood par nahi, dil main utarti hai. Phir iss se ziyada mukamal, khobsurat aur baa’mani guftagu koi aur cheez nahi kar sakti aur ye guftagu insan ki sari zindagi ka hasil hoti hai aur iss guftagu k baad aik dosray se kabhi dobara kuch kehna nahi parta. Kuch kehnay ki zaroorat rehti hi nahi.