Ghanney darakht ke neechey sulaa ke chorr geya,
Ajeeb shakhss tha sapney dikhaa ke chorr geya,
Yeh ujrra hua ghar to usi aik ki nishaani hai,
Jo apne naam ki takhti* lagaa ke chorr geya..
Printable View
Ghanney darakht ke neechey sulaa ke chorr geya,
Ajeeb shakhss tha sapney dikhaa ke chorr geya,
Yeh ujrra hua ghar to usi aik ki nishaani hai,
Jo apne naam ki takhti* lagaa ke chorr geya..
Mohabbat farzz hoti ja rahi hai,
Kisi ka qarzz hoti ja rahi hai,
Badan ko chaatt le gi ab yaqeenan,
Judaai marzz hoti ja rahi hai..
…
Ek ajeeb sa manzar nazar aata hai,
Har ek qatra samandar nazara aata hai,
Kahan banaaon main ghar sheeshey se,
Har kisi ke hath mein pathar nazar aata hai..
…
Yahaan alfaaz biktey hain,
Tijaarat hai takhiyul ki,
Muhabbat aik paisha hai,
Tumhary sheher mein Mohsin..
Abhi bahaar baaqi hai chaman mein,
Abhi shaakh se phool torna theek nahin,
Abhi sheher ke logon ko zarurat hai roshni ki,
Abhi hawaaon ka rukh morrna theek nahin..
…
Abhi to shikaytain hain dil badnaseeb se,
Ik din kisi ko dekh liya tha qareeb se,
Us ke baghair bhi wohi hai zindagi ka daur,
Halaat-e-zindagi bhi hain ajeeb se..
Ek Ajnabi Hai Magar, Rooh Shanas Lagta Hai,
Meri Tarha Mujhe Wo Bhi Udaas Lagta Hai,
Karu’n Talash Toh Ho Shaq Wajood Par Usky,
Jo Aankhein Band Karun Toh Aas Paas Lagta Hai..!!!
…
Phir Aaj Koi Gazal Tere Naam Na Ho Jaye !!
Kahin Likhte Likhte Shaam Na Ho Jaye !!
Kar Rahe Hain Intezaar Teri Mohabbat Ka !!
Isi Intezaar Me Zindagi Tamam Na Ho Jaye !!
Ek Muddat Se Mere Haal Se Begana Hai,
Jane Zalim Ne Kis Baat Ka Bura Mana Hai,
Mein Jo Ziddi Hoon Tu Wo Bhi Hai Ana Ka Qaidi,
Mere Kehne Per Kahan Us Ne Chale Aa Na Hai..
…
Ek Muddat Se Mere Haal Se Begana Hai,
Jane Zalim Ne Kis Baat Ka Bura Mana Hai,
Mein Jo Ziddi Hoon Tu Wo Bhi Hai Ana Ka Qaidi,
Mere Kehne Per Kahan Us Ne Chale Aa Na Hai..