ik bas tuu hi nahi mujhase Khafaa ho baiThaa
main ne jo sang taraashaa vo Khuda ho baitha
Printable View
ik bas tuu hi nahi mujhase Khafaa ho baiThaa
main ne jo sang taraashaa vo Khuda ho baitha
ajal ke hath main aa raha hai parwana
najane aaj kee fehrist main raqam kia hai
Aik baar kaha tha Uss ne Mujh seY k mein Hashta Achha Lagta Hun
Iss Baat ko pehro Yaad mein kar k Abb pal Pal rouTa Rehta hun
Na Jane Kon Hai Nasir Jis ki Talash Main
Her Ik Saans Mera Ab Safar Main Rehta Ha
Ye ridaa-a-jaan tujhay sonmp doon ke na dhoop tujh ko kari lagay
Tujhay dukh na den mere jeetay gee sar-a-dasht gham ki tamaazten
Tum soch bhi nahin sakte,
main kitna sochta hun tumhen …!
Riwaayaton ki qataaren tod kar badho warna,
jo tum se aage hain woh raasta nahin denge …!
Uss ne har cheez badal di apni,
jism ka ghaao puraana rakha …!!
In tez hawaaon mein kahan jaaoge mohsin ?
raaton ko toh paagal bhi nikalte nahin ghar se …!
Maine bhi bachpan mein ek naqsha banaaya tha,
magar zindagi kitni alag nikli meri tasweer se …!