Barsoon ke baad dekha ik shaks dilruba sa..........
http://i50.tinypic.com/2e3sdww.gif
Barsoon ke baad dekha ik shaks dilruba sa
Aab zehan mein nahi hai per naam tha bhala sa
Abroo kheeche kheeche se, ankhein jhuki jhuki si
Baatein ruki ruki si, lehja thaka thaka sa
Alfaz the ke jugnoo awaz ke nagar mein
Ban jaye jangloon mein jis tarha rasta sa
Khuwaaboon mein khuwaab uske, yaadoon mein yaad uski
Neendoon mein khul gaya ho jaise ratjaga sa
Pehle bhi log aye kitne hi zindagi mein
Woh har tarha se lekin auroon se tha juda sa
http://i50.tinypic.com/2e3sdww.gif
Re: Barsoon ke baad dekha ik shaks dilruba sa..........
Re: Barsoon ke baad dekha ik shaks dilruba sa..........
Re: Barsoon ke baad dekha ik shaks dilruba sa..........
achaa waqai dekha tha... wo oper mumti ka darwaza tufaan mein zor zor bol raha tha, Maa g nay bohat ruka mut ja, per FP as usual himat o bahadouri ka paharh bana poohaach geya oper, aur Jhanda bhi pharpharaha raha tha wo bachanay aur bhi oper charh geya... aur watan kay jhanday ko lapeyt diya... khud ko ball pen say gaal per sitaraejuraat bhi diya aur kalai per aeizazi ghari bhi banai. itna chupaya dunya say apnay karnamoon ko phir bhi loug dekh dakh kar postein kar deytay hain. anyway thanks thnx:
Re: Barsoon ke baad dekha ik shaks dilruba sa..........
Walikum As Salam
Umda Sharing
Re: Barsoon ke baad dekha ik shaks dilruba sa..........
Nice Sharing......................
Re: Barsoon ke baad dekha ik shaks dilruba sa..........