Main zamaane ki riwaayat ka numaainda nahin..
Main zamaane ki riwaayat ka
numaainda nahin,
meri duniya mein koi amroz-o aainda nahin.
Tu bhi apne jurm ki taazeer pe hairat na kar,
main bhi apne ghar ki barbaadii pe sharminda nahin.
Main toh uske dil ki dhadkan ban gaya hoon baaraha,
woh hareef-e jaan samajhta hai ki main zinda nahin.
Ya hawa-e dehar mein pinha hai toofaanon ka zor,
ya faseel-e jism ke aasaar paainda nahin.
Aansu’on ki lehar mein behta hua moti toh hoon,
kya hua gar aapki soorat mein taabinda nahin.
Shukr hai raas aa gaya mujh ko qanaa’at ka jahaan,
shukr hai main qasr-e sultaani ka kaarinda nahin.
Yun mere ahbaab milte hain mujhe Mohsin’ yahan
jaise main is sheher-e naa-pursaan ka baashinda nahin .!!
Re: Main zamaane ki riwaayat ka numaainda nahin..
Re: Main zamaane ki riwaayat ka numaainda nahin..
Re: Main zamaane ki riwaayat ka numaainda nahin..
Re: Main zamaane ki riwaayat ka numaainda nahin..
Re: Main zamaane ki riwaayat ka numaainda nahin..
Thanks 4 Beautiful Peotry
Re: Main zamaane ki riwaayat ka numaainda nahin..