Khush hun k zindagi ne koi kaam kar dia
Khush hun ki zindagi ne koi kaam kar diya,
mujh ko supurd-e gardish-e ayaam kar diya.
Saaqi siyaah-khana-e-hasti mein dekhna,
roshan charaagh kis ne sar-e shaam kar diya.
Pehle mere khuloos ko dete rahe fareb,
aakhir mere khuloos ko badnaam kar diya.
Kitni duaayen dun teri zulf-e daraaz ko,
kitna waseea silsila-e daam kar diya.
Woh chashm-e mast kitni khabardaar thi ‘adam
khud hosh mein rahi, humein badnaam kar diya. !
Re: Khush hun k zindagi ne koi kaam kar dia

Quote:
Originally Posted by
Aliza

Superb!!! Very Nice.are you want to kill us by sharing like this poetry (just jocking)

Ubaid

Hehe ab dkhe jo pasand aye 2o share to Karna lazim hai na