Ehbab ki surat ho ke aghyaar ki surat
Ehbab ki surat ho ke aghyaar ki surat,
Har chehre main ati hai nazar yaar ki surat,
Jis ankh ne dekha tujhe, us ankh ko dekhoon,
Hai is ke siwa kya tere deedar ki surat,
Pehchan liya tujh ko teri sheesha-gari se,
Aati hai nazar fun se hi funkaar ki surat,
Surat meri ankhon main samaye gi na koi,
Nazron main bassi rehti hai sarkaar ki surat,
Dil hath pe rakha hai koi hai jo khareede,
Dekhoon to zara main bhi kharidaar ki surat,
Ashqon ne bayan kar hi diya raz-e-tamanna,
Hum soch rahe thay abhi izhar ki surat,
Abid ki sar-e-dar pukara hai kisi ne,
Inkaar ki surat hai na izhaar ki surat..
Re: Ehbab ki surat ho ke aghyaar ki surat
Re: Ehbab ki surat ho ke aghyaar ki surat
Re: Ehbab ki surat ho ke aghyaar ki surat
Bht hi khubsurat sharing ubaid
Re: Ehbab ki surat ho ke aghyaar ki surat
Quote:
Originally Posted by
Ubaid
Very gud Ubaid aise hi kar dia karo
Re: Ehbab ki surat ho ke aghyaar ki surat
Re: Ehbab ki surat ho ke aghyaar ki surat