Aankhon mein raha dil mein utar kar nahin dekha,
kashti ke musaafir ne samandar nahin dekha.
Bewaqt agar jaaunga sab chonk padenge,
ek umar hui din mein kabhi ghar nahin dekha.
Jis din se chala hun meri manzil pe nazar hai,
aankon ne kabhi meel ka patthar nahin dekha.
Ye phool mujhe koi wiraasat mein mile hain,
tum ne mera kaanton bhara bistar nahin dekha.
Patthar mujhe kehta hai mera chaahne wala,
main mom hun uss ne mujhe chhu kar nahin dekha. !!
–Bashir Badr
Bookmarks