sir aap ke baare main jitna socha tha us se bhi kahin ziaada aap ko paaya. main toh ap ko baaba-e-goshaa-e-musanfeen ki seat de kar hi khush thi. . mujhe andaza nahi tha ke meri insan parakh nazar waqaqie main insan ko parakhna jaanti hai. is ka andaza mujhe aaj ap ke bare main parh kar hua. yaqeen karain dil khush ho gaya. jis qadar faakh ilm ke maalik hain.ussi qadar farakh tabiyat aur mizaaj paaya hai ap ne. faraakh dili ke sath. MA SHA ALLAH.
aur yaqeen kijiye. aap ka yahan apna taaruf dena hi hamare liye wajh-e-izat-o-shohrat hai. sir ji aap chalti hoi wo baad-e-saba hain ke jisko na aik kamre main mehdood kia ja sakta hai. na hi chaaroun atraaf phailne se roka ja sakta hai. mere paas aap ke liye naa toh pehle kabhi umda alfaaz the..naa hi ab hain. main bas itna kahoon gi ke. aap ka yahan hona .hamare liye bohot izat ki bat hai.
waise toh taleem ka talluq jis tarha aap ka hai.mere waaldain ka bhi same waise hi talluq hai taleem ke sath. toh goya aap ki taraf mukhaatib hone ka bahaana youn bhi tha aur youn bhi sahi. aap ke bare main parh kar dil ko bohot khushi hui . Allah pak aap ki izat main mazeed izaafa farmaaye. aur taa hayat aap ko izat se maal-a-maal rakhe aameen.
Bookmarks