SHAREHOLIC
  • You have 1 new Private Message Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.

    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Results 1 to 6 of 6

    Thread: Dil Badel De

    1. #1
      UT Writer www.urdutehzeb.com/public_html Lost Passenger's Avatar
      Join Date
      May 2014
      Posts
      30
      Threads
      10
      Thanks
      7
      Thanked 13 Times in 9 Posts
      Mentioned
      2 Post(s)
      Tagged
      3342 Thread(s)
      Rep Power
      0

      Flower Dil Badel De

      • Assalam-o-Alaikum

        Buhat arsey k baad kisi tehreer k sath hazir huwa hoo'n,kafi waqt k baad likha hey is liye ho sakta hey k kahi'n kahi'n aap ko be rabtagi ka aehsas ho,laikin ek baat zaroor hey k mai'n ne jo kuch apney itraf mai'n daikha usey hi likhney aur aap sub se roshanas karaney ki koshish ki hey ager koi kami reh gai ho tu derguzer fermaye ga.

        Dil Badel De

        Koi usey maghror kehta tha tu koi ghumandi, mager mai’n ney usey kabhi palat k jawab daitey nahi daikha,us ney kabhi kisi ki baat ko aehmiyet nahi di, ya tu wo buhat behis tha ya phir us ki nazar mai’n ye batai’n karney waloo’n ki koi aehmiyet hi nahi thi, paisa us k pas be hisab tha aur wo usey be draigh kharch bhi kerta tha Eid ya jummey ki namazoo’n mai’n masjid mai’n nazer aajata,mukhtaser ye k na tu wo aam logoo’n ki hi nazer mai’n koi acha insan tha aur na hi hamari nazer mai’n k jo nihayet pabandi se pancoo’n waqt masjid mai’n nazer aatey aur rozoo’n ka pura aetimam kertey hai’n,hamari nazer mai’n tu wo ek be rah ro shakhs tha, k hum islam k thaikeydar jo hai’n,mager idher kuch dinoo’n se mai’n ney us k chehrey pe ek ajeeb sa kerb mehsoos kia aur phir wo ek dam ghaib ho gaya, aur phir ek roz Asr ki namaz k baad mai’n masjid mai’n baitha apney mamolaat mai’n mashghool tha k kisi ki siskiyoo’n ne mujhey apni taraf mutawajhey ker liya, malgajey se kaproo’n mai’n malbos koi shakhs tha jo sajdey mai’n para Allah k ro ba ro gir gira raha tha aur phir us ki awaz aahista aahista buland honi shoro ho gai aisey jaisey usey is ka aehsas hi na raha ho k aas pas koi mojood bhi hey aur wo jo kuch keh raha hey usey sun ker mairi aankhai’n se bhi aansoo rawa’n ho gaye hai’n mai’n haira’n hoo’n k koi Allah ko aisey beqarar ho k bhi pukar sakta hey, aaiye aap bhi sunye wo kia keh raha hey,

        ”ya Allah mujhey muaf kerdey,mujhey bakhsh dey mairey mola tu ne mujhey itna dia k mai’n us ka shumar nahi ker sakta mager mai’n na shukra thera, mairey Malik mujhey is karb se nijat dey mai’n kuch khaney baithta hoo’n tu hamarey ird gird bastey logoo’n aur be bus bachoo’n k chehrey mairi aankhoo’n k samney aajatey hai’n jinhai’n pait bher ker ek waqt ka khana bhi naseeb nahi aur niwaley mairey halaq mai’n atak jatey hai’n,mujhey apney qimti gram kaproo’n mai’n shdeed sardi mehsoos hoti hey k na janey kinti zindagiyaa’n thand ki nazer ho jati hai’n, Mehngey tareen jotey pehn’ney k bawajood mairey paoo’n zakham zakham hai’n k yaha’n kitney hi bandey nangey paoo’n ghomtey hai’n aur mairey chehrey per shikan tek nahi aati,Maire Allah jub mai’n kisi bachey ko us ki man pasand cheez ki janib hasret bhari nazer se daikhtey pata hoo’n tu us ki ye nazer mairey dil ko cheer dalti hey aur us k baap ki babasi k wo apney bachey ki ek choti si khwahish bhi puri nahi ker sakta mairey dil ko raiza raiza ker daiti hey,Ya Allah,aay mairey Malik,aay mairey palney waley aap k jis k qabzey mai’n mairi jan hey k aap k ikhtiyar mai’n sub k dil hai’n Dil badal dey k mai'n akyla kuch bhi nahi ker sakta, sub ko is kerb se aashna kerdey jis sey mai’n guzer raha hoo’n dil badel de mairey Allah dil badel De”

        Aur phir us ney Dil Badel De ya Allah ki takrar shoro kerdi aur mai’n jis ki aankhoo’n se aansoo buhat rawani se jari they mujhey pata hi na chala k kab be ikhtiyar mairey laboo’n se bhi ye hi nikalney laga k Dil Badel De ya Allah, Aap yaqinan jan’na chahtey hoo’n ge k wo shakhs kon that u wo wohi insan tha jisey hum sub bura insan samajhtey they aaj mai’n apni hi nazroo’n mai’n gir gaya tha k wo kia tha aur hum ne usey kia samjha,mai’n masjid se bahir nikla tu dunya bari badli badli si mehsoos hui her ek apney se behter mehsoos hua her insan se muhabbet mehsoos hui hala’n k dunia bhi wohi thi aur log bhi wohi sirf soch aur daikhney ka zaviya badal gatya tha aur dosroo’n ki zaroriyaat apni zaroriyat se ziyadha aehem mehsoos honey lagi thi’n shayed ye aaghaz tha Dil badelney ka.

    2. #2
      Administrator Admin intelligent086's Avatar
      Join Date
      May 2014
      Location
      لاہور،پاکستان
      Posts
      38,412
      Threads
      12102
      Thanks
      8,639
      Thanked 6,948 Times in 6,474 Posts
      Mentioned
      4324 Post(s)
      Tagged
      3289 Thread(s)
      Rep Power
      10

      Re: Dil Badel De

      وعلیکم السلام
      جزاک اللہ خیر

    3. #3
      The thing women have yet to learn is nobody gives you power. You just take it. Admin CaLmInG MeLoDy's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      6,213
      Threads
      2245
      Thanks
      931
      Thanked 1,367 Times in 868 Posts
      Mentioned
      1038 Post(s)
      Tagged
      7966 Thread(s)
      Rep Power
      10

      Re: Dil Badel De

      Quote Originally Posted by Lost Passenger View Post

      Walaikum salam. kaise hain aap ? Must be fine IN SHA ALLAH..bohot khushi hoi aap ko bohot waqt ke baad hamare darmyan daikh kar.. Allah pak aap ke is husn-e-nazar ko salamat rakhe ke jis se aap dunia ka dard mehsoos karte hain. aur us dard ko apni tahareer main piro dete hain.

      baat ye nahi hai ke aap kitne din baad onlien aaye hain.aap ki tehreer mai aghlaat hain ya nahi..asal bat ye hai ke aap ne likha kia hai.aap ne hamare moaashre ke aik hassaas pehlu ko zer-e-behes kia hai.

      ye hi aalam hai tamaam ehl e dunia ka ke..apne apne kaamoun main magan hain..kisi ko kisi se koi gharz nahi..kis ki kia zaroorat hai. kis ki kia kami hai..kisi ko hosh nahi.Allah pak sab ke dil badal de..aameen..

      JazakAllah is tehreer ko hamare sath share karne ke liye .

    4. #4
      UT Writer www.urdutehzeb.com/public_html Lost Passenger's Avatar
      Join Date
      May 2014
      Posts
      30
      Threads
      10
      Thanks
      7
      Thanked 13 Times in 9 Posts
      Mentioned
      2 Post(s)
      Tagged
      3342 Thread(s)
      Rep Power
      0

      Re: Dil Badel De

      Quote Originally Posted by CaLmInG MeLoDy View Post

      Walaikum salam. kaise hain aap ? Must be fine IN SHA ALLAH..bohot khushi hoi aap ko bohot waqt ke baad hamare darmyan daikh kar.. Allah pak aap ke is husn-e-nazar ko salamat rakhe ke jis se aap dunia ka dard mehsoos karte hain. aur us dard ko apni tahareer main piro dete hain.

      baat ye nahi hai ke aap kitne din baad onlien aaye hain.aap ki tehreer mai aghlaat hain ya nahi..asal bat ye hai ke aap ne likha kia hai.aap ne hamare moaashre ke aik hassaas pehlu ko zer-e-behes kia hai.

      ye hi aalam hai tamaam ehl e dunia ka ke..apne apne kaamoun main magan hain..kisi ko kisi se koi gharz nahi..kis ki kia zaroorat hai. kis ki kia kami hai..kisi ko hosh nahi.Allah pak sab ke dil badal de..aameen..

      JazakAllah is tehreer ko hamare sath share karne ke liye .

      Buhat shukria Rubi mairi is kawish ko perhney aur serhaney key liye mai'n Allah key fazal sey ab kafi behter hoo'n Allah ney itney muhabbet kerney waley ata kiye hai'n keh agr tamam umr bhi uska shuker ada kerta rahoo'n tu pura na ho, sadqa roz nikalney kiaadet dali hey tu Allah bacha hi laita hey abhi apney knee ki injury sey hi puri terha nahi'n sambhal paya tha keh 21 Ramzan-ul- Mubarak ko ain gromader key chowek per ek bike wala apni bike samait is gram jaoshi sey baghal geer huwa keh uski muhabbet mairi left side per sixth rip ko fracture ker gai aur baqi asraat bhi kafi rahey, jaha'n tek tehreer ka taluq hey mujhey lgta hey keh her guzertey roz key sath mairey liye likhna dushwar ter hota ja raha hey apney aas paas phili ye la chariya'n mujhey mustaqil bechain rakhti hai'n kabhi kabhi tu der lgta hey keh kahi'n nafsiyati mareez ban ker na reh jaoo'n,aaj kisi k paas kisi k liye waqt nahi'n hey mairey bachey mujh sey shaki hai'n keh mai'n bahir khaney k liye nahi'n jata mai'n unhai'n ye kaisey samjhaoo'n keh jub hun khana khaney bhithey hoo'n aur aap key samney kuch fasley per koi bacha sirf is intizar mai'n baitha ho keh agr kuch bach jaye tu shayed usey bhi mil jaye tu khana halq sey neechey nahi'n uterta jis aadmi ki soch ka mai'n ney apni tehreer mai'n ziker kia wo mairi hi soch hey laikin mai'n akeyla kuch bhi nahi'n ker sakta ye bhi ek be basi hey, Allah hamarey haal per rehem fermaye, hamaisha khush aur salamet raho,Ameen.

    5. #5
      The thing women have yet to learn is nobody gives you power. You just take it. Admin CaLmInG MeLoDy's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      6,213
      Threads
      2245
      Thanks
      931
      Thanked 1,367 Times in 868 Posts
      Mentioned
      1038 Post(s)
      Tagged
      7966 Thread(s)
      Rep Power
      10

      Re: Dil Badel De

      Quote Originally Posted by Lost Passenger View Post
      Buhat shukria Rubi mairi is kawish ko perhney aur serhaney key liye mai'n Allah key fazal sey ab kafi behter hoo'n Allah ney itney muhabbet kerney waley ata kiye hai'n keh agr tamam umr bhi uska shuker ada kerta rahoo'n tu pura na ho, sadqa roz nikalney kiaadet dali hey tu Allah bacha hi laita hey abhi apney knee ki injury sey hi puri terha nahi'n sambhal paya tha keh 21 Ramzan-ul- Mubarak ko ain gromader key chowek per ek bike wala apni bike samait is gram jaoshi sey baghal geer huwa keh uski muhabbet mairi left side per sixth rip ko fracture ker gai aur baqi asraat bhi kafi rahey, jaha'n tek tehreer ka taluq hey mujhey lgta hey keh her guzertey roz key sath mairey liye likhna dushwar ter hota ja raha hey apney aas paas phili ye la chariya'n mujhey mustaqil bechain rakhti hai'n kabhi kabhi tu der lgta hey keh kahi'n nafsiyati mareez ban ker na reh jaoo'n,aaj kisi k paas kisi k liye waqt nahi'n hey mairey bachey mujh sey shaki hai'n keh mai'n bahir khaney k liye nahi'n jata mai'n unhai'n ye kaisey samjhaoo'n keh jub hun khana khaney bhithey hoo'n aur aap key samney kuch fasley per koi bacha sirf is intizar mai'n baitha ho keh agr kuch bach jaye tu shayed usey bhi mil jaye tu khana halq sey neechey nahi'n uterta jis aadmi ki soch ka mai'n ney apni tehreer mai'n ziker kia wo mairi hi soch hey laikin mai'n akeyla kuch bhi nahi'n ker sakta ye bhi ek be basi hey, Allah hamarey haal per rehem fermaye, hamaisha khush aur salamet raho,Ameen.
      hmm. Allah pak aap ko sehat, salamti aur tandurusti se nawaze.aameen..
      main ye hi soch rahi thi .ke naa jaane aap kahan hain.. bhabi ji kaisi hian.bachoun ko bhi dua pyaar. ab toh theek hain na aap?
      @BDunc bhi kam kam aate hain ab..unka bhi intizar rehta hia.
      aap ki baat apni jaga durust hai ke..kahin khana khane jayainbge toh kisi bhooke bache ko daikh kar aap ke moonh se niwala nahi utre ga..magar ye baat bhi sach hai ke.kisi ko naseeb se pehle aur naseeb se ziada nahi milta..aap ke dil main tamaam aise logon ke liye soft corner hai.ye bohot achi baat hai.har muslim ke dil main hona chahiye..magar aap ke bachoun par bhi toh aap ka haq hai.
      agar aap apni is kefiyat ki waja se..unko unki choti choti khuahishaat se mehroom rakhainge..toh aik waqt main aa ke aap ko is baat ka bhi pachtaawa hoga..aap bachoun ko le jaya karain.aru bachoun ke hi hath un naadaar bachoun ke paas kuch khane peene ko bhijwa dia karain.phir aap ka dil malamat karne ki jaga khush hoga...Allah paak ap ke hosle buland rakhe.aameen.

    6. #6
      Family Member Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982 UmerAmer's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      4,677
      Threads
      407
      Thanks
      124
      Thanked 346 Times in 299 Posts
      Mentioned
      253 Post(s)
      Tagged
      5399 Thread(s)
      Rep Power
      158

      Re: Dil Badel De

      Zabardastttttttttttttt

    + Reply to Thread
    + Post New Thread

    Thread Information

    Users Browsing this Thread

    There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

    Visitors found this page by searching for:

    Nobody landed on this page from a search engine, yet!
    SEO Blog

    User Tag List

    Posting Permissions

    • You may not post new threads
    • You may not post replies
    • You may not post attachments
    • You may not edit your posts
    •