SHAREHOLIC
  • You have 1 new Private Message Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.

    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Results 1 to 9 of 9

    Thread: Hum Kyoon Bhool Jatey Hain

    1. #1
      UT Writer www.urdutehzeb.com/public_html Lost Passenger's Avatar
      Join Date
      May 2014
      Posts
      30
      Threads
      10
      Thanks
      7
      Thanked 13 Times in 9 Posts
      Mentioned
      2 Post(s)
      Tagged
      3342 Thread(s)
      Rep Power
      0

      star Hum Kyoon Bhool Jatey Hain



      • Assalam-o-Alaikum


        Kuch batai'n, aadatai'n ya mizaj kehlai'n kabhi nahi badeltey aur nihayet afsos k sath kehna perta hey keh shayed hamari qoum bhi aisi hi hey k kabhi ye hamaisha hi dhoka khati aai hey mager phir bhi nahi sambhalti apney mazi se kuch nahi seekhti hamai'n hamarey buzurgoo'n ney ye mulk kin qurbaniyoo'n se hasil kia hum bhool gaye 1971 k saqoot-e-dhaka mai'n kitney pyarey apney azizoo'n se bicher gaye hum bhool gaye hum kis k bandey hai'n aur kis ki ummet hai'n hum bhool gaye masajid se ubherti hui Allah ho Akber ki sada ka kia matlub hota hey hum bhool gaye aaj musalmanoo'n k gher gher se mandiroo'n ki ghantiyoo'n ki awazai'n aa rahi hai'n ye sahi hey ya ghalet hum bhool gaye.......Aakhir hum kab tek bholtey rahai'n ge, Allah hum sub k hal pe reham fermaye aur hamai'n hidayet ki doulat se nawazey,Ameen

        Jaisa k mai'n ney pehley kaha mai'n sachi kahaniya'n talashta hoo'n tu aaj bhi kuch aisa hi huwa kuch aisey logoo'n se mulaqat hui jo 1971 mai'n apney azizoo'n se aisey bichrey k aaj tek un ki aankhai'n intizar ki rah hi daikh rahi hai'n aur jin k aansoo khushk ho chukey hai'n


        Hum Kyoon Bhool Jatey Hain



        Ek bar phir 16th December aai or khamoshi se guzer gai, kisi ko is baat ka ahsas nahi k is din hum ne kia khoya tha.mager main ne daikha hey kitni hi aankhain is din ko yad ker k ashk bar ho jati hainye tariekh-e-mader-e-watan ka wo siha din hey jis din hamara ye watan do-lakht hogaya,kitnoon k apne is ki khoon raizi ka shikar huwey, kitne hi jhurri zadha chehrey apni zindagi k aakhri aiyam is umeed pe kat rahey haink shayed kisi subha derwazey pe dastek ho or wo apne un pyaroon ko daikh sakin jo aaj tek plat k nahi aaye,or hum itne sada lohhain k hamain tu kuch yad hi nahi rehta,

        yad rakhne ka matlab din manana nahi hota balke ghaltiyoon se sabaq seekhna hota hey,mager afsoos se kehna prta hey k humsub min hasulquam buhat seedhey,masoom or kamzoor yaddasht Waley hain,hamain tu ye bhi yad nahi k 1st Mohhrem-ul-hram hazret Umer Farooq(R.T.A) ka yoom-e-shahadet hey k jin k barey main Allah k rasool(S.A.W.W) ne far maya (mafhoom) k mairey baad ager koi nabi hota tu wo umer hota,hamain tu aaj ye bhi yad nhi ye mulk-e-khudadad hamrey buzurgoon ne apne hi khoon se ghusl ker k hasil kia tha,hamain tu ye bhi yad nahi k is watan k hasool k liye kitni suhaganin bewa hogain,kitne bachoon ka bachpen yateemi ki nazer hogaya,kitni hi maain apney baitoon se mehroom hogain, kitni behnoon ne apne bhai is mulk ke hasool ki nazer ker diye,

        kia kisi ne us baap or bhai ki rooh ki aziyet ko yad rakha jin k samne un ki bahoo baitiyoon ko dumanan-e-deen utha ley gaya kaisa dil trpa hoga jaisey kantoon bhree jhariyoon main kisi atkey kaprey ko khinch lia jaye,un ki chiekhain raat ko soney bhi na daiti hoongi, mager hamain kuch yad nahi hum khush hain hum sirf traqi krna chahtey hain,aagey brhna chahtey hain paisey k hasool ki ek dor hey jis ne hamin her her ahsas se aari ker dala hey bus aage jana hey or wo bhi mazi ko yad rakhey bina,hum bhool jateyhain k

        “jo qoumain apni tariekh yad nahi rakhtin unka geoghrafiya mukhtaser ho jata hey

        na janekyoon aaj maira dil trap utha hey kia aaj koi Iqbal nahi jiski “Bang-e-dra" ya Zerb-e-kaleem" hamain phir se jaga de hamarey ander wo national sprit paida kerdey jo 1947 main thi jo 1965 main thi,aaj koi Muhammed bin qasim nahi,koi salahuddin aiyubi nahi,kia hamri quam main aisey jialey na paid hogaye hain maira dimagh maira sath nahi de raha main buhat kuch likhna chahta hoon mager main apne ahsasat ko lafzoon main nahi dhal pa raha main bus itna kehna chahta hoon k aaj main be bus zaroor hoon mager na umeed nahi or is dua k sath is tehreer ka ikhtamam kerta hoon k Allah hamain or hamari quam ko tamam ikhtilafat ko bhula k mazi ki ghlatyoon se sabaq seikhne or ek hone ki toufiq ata fermaye.Ameen.












    2. The Following 5 Users Say Thank You to Lost Passenger For This Useful Post:

      Admin (12-29-2015),Arosa Hya (12-30-2015),CaLmInG MeLoDy (12-30-2015),intelligent086 (12-30-2015),Mamin Mirza (12-29-2015)

    3. #2
      ....You don't need to follow trends to be stylish..... Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982 Admin's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Location
      Dubai , Al Mamzar
      Posts
      8,008
      Threads
      254
      Thanks
      372
      Thanked 294 Times in 242 Posts
      Mentioned
      681 Post(s)
      Tagged
      6427 Thread(s)
      Rep Power
      21474854

      Re: Hum Kyoon Bhool Jatey Hain

      very well said dear its true


    4. The Following User Says Thank You to Admin For This Useful Post:

      Lost Passenger (12-29-2015)

    5. #3
      Charagh e Aab...........! www.urdutehzeb.com/public_htmlwww.urdutehzeb.com/public_html Mamin Mirza's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Location
      Uroos Ul Bilad,Sheher e Qaid.....Karachi..!
      Posts
      2,368
      Threads
      338
      Thanks
      1,026
      Thanked 1,107 Times in 704 Posts
      Mentioned
      346 Post(s)
      Tagged
      3232 Thread(s)
      Rep Power
      59

      Re: Hum Kyoon Bhool Jatey Hain

      Aray wah
      Arsay baad koi tehreer Agha ji
      Kiya kehnay....!

      !میری زمیں میرا آخری حوالہ ہے۔۔۔۔

    6. The Following User Says Thank You to Mamin Mirza For This Useful Post:

      Lost Passenger (12-29-2015)

    7. #4
      UT Writer www.urdutehzeb.com/public_html Lost Passenger's Avatar
      Join Date
      May 2014
      Posts
      30
      Threads
      10
      Thanks
      7
      Thanked 13 Times in 9 Posts
      Mentioned
      2 Post(s)
      Tagged
      3342 Thread(s)
      Rep Power
      0

      Re: Hum Kyoon Bhool Jatey Hain

      Quote Originally Posted by Admin View Post
      very well said dear its true
      Buhat shukria






    8. The Following User Says Thank You to Lost Passenger For This Useful Post:

      Admin (12-29-2015)

    9. #5
      UT Writer www.urdutehzeb.com/public_html Lost Passenger's Avatar
      Join Date
      May 2014
      Posts
      30
      Threads
      10
      Thanks
      7
      Thanked 13 Times in 9 Posts
      Mentioned
      2 Post(s)
      Tagged
      3342 Thread(s)
      Rep Power
      0

      Re: Hum Kyoon Bhool Jatey Hain

      Quote Originally Posted by Mamin Mirza View Post
      Aray wah
      Arsay baad koi tehreer Agha ji
      Kiya kehnay....!
      Tmhari hairani baja hey momo waqi kafi arsey baad main ney koi tehreer share ki hey
      kabi sochta hoon keh pabandi se likhoo'n mager na janey kyoo'n dil hi nahi'n kerta ab likhney ko
      ye bhi koi nai tehreer nahi'n purani hi hey aur mai'n ny saqoot-e-mashriqi Pakistan key hawaley se hi likhi thi kyoo'n keh yaha'n share nahi'n ki thi is liye kerdi ke shayed koi perh ley, tu ye wajha hey dobara nazer aaney ki warna mai'n aaj kal kaha'n paya jata hoo'n tumhai'n achi terha maloom hey.







    10. The Following User Says Thank You to Lost Passenger For This Useful Post:

      Mamin Mirza (12-30-2015)

    11. #6
      The thing women have yet to learn is nobody gives you power. You just take it. Admin CaLmInG MeLoDy's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      6,213
      Threads
      2245
      Thanks
      931
      Thanked 1,367 Times in 868 Posts
      Mentioned
      1038 Post(s)
      Tagged
      7966 Thread(s)
      Rep Power
      10

      Re: Hum Kyoon Bhool Jatey Hain

      MashaAllah..bhai..bohot umda thereer...aur wo bhi ap ki tehreer.jo hamesha hi koi na koi maqsad liye hoti hai.
      hamesha ki tarha acha paigham liye umda tehrer.
      khuaahish toh meri bhi ye hai..ke ab koi is qoum ko jagaane waala aaye... kisi ke lafz dil main utrain..kisi ka paigham dunia ke kone kone tak jaye...

      behtreen tehreer share karne ka be had shukria..







    12. #7
      Charagh e Aab...........! www.urdutehzeb.com/public_htmlwww.urdutehzeb.com/public_html Mamin Mirza's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Location
      Uroos Ul Bilad,Sheher e Qaid.....Karachi..!
      Posts
      2,368
      Threads
      338
      Thanks
      1,026
      Thanked 1,107 Times in 704 Posts
      Mentioned
      346 Post(s)
      Tagged
      3232 Thread(s)
      Rep Power
      59

      Re: Hum Kyoon Bhool Jatey Hain

      Quote Originally Posted by Lost Passenger View Post
      Tmhari hairani baja hey momo waqi kafi arsey baad main ney koi tehreer share ki hey
      kabi sochta hoon keh pabandi se likhoo'n mager na janey kyoo'n dil hi nahi'n kerta ab likhney ko
      ye bhi koi nai tehreer nahi'n purani hi hey aur mai'n ny saqoot-e-mashriqi Pakistan key hawaley se hi likhi thi kyoo'n keh yaha'n share nahi'n ki thi is liye kerdi ke shayed koi perh ley, tu ye wajha hey dobara nazer aaney ki warna mai'n aaj kal kaha'n paya jata hoo'n tumhai'n achi terha maloom hey.
      Sahi kaha Agha ji,dil waqai nahi karta ab likhnay ko
      Chalain nai nahi,aapne share ki maine parhi khushi hoi
      Haan ajkal aap FB par paye jatay hain waqtan fawaqtan

      !میری زمیں میرا آخری حوالہ ہے۔۔۔۔

    13. The Following User Says Thank You to Mamin Mirza For This Useful Post:

      Lost Passenger (12-30-2015)

    14. #8
      Star Member www.urdutehzeb.com/public_htmlwww.urdutehzeb.com/public_html
      muzafar ali's Avatar
      Join Date
      Nov 2015
      Posts
      2,772
      Threads
      481
      Thanks
      1,142
      Thanked 1,167 Times in 923 Posts
      Mentioned
      159 Post(s)
      Tagged
      497 Thread(s)
      Rep Power
      11

      Re: Hum Kyoon Bhool Jatey Hain

      nice

      Kis Ki Kya Majal Thi Jo Koi Hum Ko Kharid Sakta Faraz,..Hum Tu Khud Hi Bik Gaye Kharidar DekhKe..?

    15. #9
      ...."I don't need your attitude. I've my own"..... www.urdutehzeb.com/public_htmlwww.urdutehzeb.com/public_html Arosa Hya's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Location
      Peace
      Posts
      5,286
      Threads
      972
      Thanks
      973
      Thanked 827 Times in 507 Posts
      Mentioned
      518 Post(s)
      Tagged
      6978 Thread(s)
      Rep Power
      242

      Re: Hum Kyoon Bhool Jatey Hain

      Ameen
      Behtreen pegham........ ALLAH Ta'ala hm mai is shaor ko zinda krden Ameen
      likhty rehye!
      khush rehye!


    + Reply to Thread
    + Post New Thread

    Thread Information

    Users Browsing this Thread

    There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

    Visitors found this page by searching for:

    www.zerb.e.zeb.com

    yateemi quotes

    Allah kabhi kisi ko yateemi na dey

    khuda khud khredar hog naat

    SEO Blog

    User Tag List

    Posting Permissions

    • You may not post new threads
    • You may not post replies
    • You may not post attachments
    • You may not edit your posts
    •