SHAREHOLIC
  • You have 1 new Private Message Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.

    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Results 1 to 3 of 3

    Thread: Youm Wafat Sir Alama Muhammad Iqbal

    1. #1
      Family Member Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982 Baab-Ul-Islam's Avatar
      Join Date
      Jan 2015
      Location
      Manchester U.K
      Posts
      54
      Threads
      26
      Thanks
      10
      Thanked 17 Times in 11 Posts
      Mentioned
      1 Post(s)
      Tagged
      99 Thread(s)
      Rep Power
      15

      new Youm Wafat Sir Alama Muhammad Iqbal





      Kehtay hain kuch log aise hain jo zamanay kay pechay bhagtay hain. Lekin kuch hastiyan aisi bhi guzri hain jin kay pechay zamanay bhagtay hain. Aur beshak sitaron kay uss groh ka sab se chamkdaar sitara Shaair-e-Mashriq Allama Mohammad Iqbal hain. Woh aik hasti jis ne hazaron ki zindagiyan badal dein. Woh aik rehnuma, jin ki qayadat nay qoum ki taqdeer badal daali. Woh aik falsafi jin kay falsafay ne inqilaab barpa kar diya. Woh aik shaiyr jin ke alfaaz ne bay-jaan ruhon mein zindagi phoonk di. Sochnay ki baat hai woh aik Insan jis ne itna kuch kar diya aj hamari zindagiyon se uska peghaam kiyun mit gya? Kiyon hum ne uss qaaid ka diya hoa sabak bhula diya jin ki rehnumai ne hamain azadi kay roshan suraj se roshnaas karaya?

      Ham manatay hain Iqbal ki saalgirah , unka youm-e-wafat lekin ajj hum asli mano’on mein bhulay hain tou sirf uss hasti ka woh pegham jo unhon ne diya apni qoum ki kamiyabi ki khatir. Hamaray roshan mustakbil ke liye. Kehtay hain jo qoumain apnay rehnumaon ko bhool jati hain zawal unhi ka muqaddar hota hai. Aj hum mein se hazaron yeh jantay hain kay Iqbal ka youm-e-wafat ya salgirah kab hai. Unki shaiyri kesi thi aur konsi kitabain hain. Roz marra zindagi mein unke asha’ar ka baqaida istemal bhi kartay hain. Hum mein se hazaron Iqbal ko “Rouhani Rehnuma” samajhtay hain. Unkay asha’ar zubani yaad hain. Lekin unke alfaz ka asli matlab sirf chand logon ko maloom hai. Hum mein say kafi log jantay hain Iqbal ka ”Falsafa-e-Khudi”. Lekin “Khudi mein doob ja ghafil yeh sirray zindagani hai” ka matlab, shayed hi kisi ko pata ho. Yeh intihaai tashveesh ki baat hai kay jahan Iqbal ka pegham radio progammes mein chala kar bachon ko sunaya jata tha. Jahan har aik ghar mein Iqbal ka shaydaai moujood hain. Aj uski Iqbal ka kaalam hamari nisaabi kitabon se mit raha hai. Aj usi Iqbal ka sabak hamaray zehno se kharij ho chuka. Iqbal ka woh azeem naa’ra , woh anmol alfaz, jin ki badolat Hindustan ki musibat zaada musalman abadi ko azadi ka roshan suraj dekhna naseeb hova, aj hamari yaad ka hissa bhi nahi hain. Hairat ki baat hai kay jis hasti nay masharti, mazhabi, siyasi aur har dosray maidan mein apna naqsh chora. Jin ke anmol khayalat ne Pakistan jesay mulk ko maariz-e-vajood mein lanay ka ma’arka sar anjaam diya. Jin ki ” lab pe aati hai dua ban kar tamanna meri” kal tak hamari subah ki dua hoa karti thi. Aj hum os hasti ka diya hoa har aik sabak bhool chukay hain.

      Sirf Iqbal kai asha’ar yaad karna hi unka pegham samajhna nahi hai. Aj hum unka kalam khush ilhani se gaa letay hain magar hum nahi jantay kat “Ya Rab Dil-e-Muslim ko woh zinda tamanna de” ka asli matlab kiya hai. Hum nahi jantay kay “Khudi na baich fakeeri main naam peda kar” kissay kehtay hain. Humain nahi pata kay “Momin sirf ehkaam-e-ilahi ka hai paband” kai kiya maa’ani hain. Yeh baat qabil-e-zikar hai magar qabil-e-fakhar nahin kay ham Iqbal ki hasti aur un kay kaam ko kharaj-e-aqeedat tou paish kartey. Unka kalam bohat shouk se parhtey hain. Unka falsafa bohat chaah se suntay hain. Lekin hamain ma’aloom nahin kay unke alfaaz kay peechay paigham kiya hai. Hamain khabar nahi tou is baat ki kay unka kalam asal mein hai kia. Unki shaiyrie, unka falsafa, unki soch, unke khayalat.. Yeh sab haqeeqatan kia hain? In ka asal matlab kiya hai? Hum kis tarah unka paigham apni zindagiyon mein daaal saktay hain? Unke diye hoye nazarye par amal paira ho kar kesay apna mustakbil sanvaar saktay hain? Humain khabar nahi hai sirf is baat ki kay 1947 mein jis hasti ki soch aur kavishon ki badoulat hamara mulk azad hova. Un ki soch ko aj 21 saddi mein kis tarah apni zindagiyon mein daal kar taraqqi ki manazil taiy karain?

      Aj zarorat hai tou sirf is amar ki kay hum Iqbal kay falsafay, unke kalam aur unke khayalat ko samjhein. Unke paigham ki khoj kar ke osay janain. Aur apni zindagiyon mein amli tor par osay daal kar behtar mustaqbil kay liye koshish karain.


      Similar Threads:



    2. #2
      Respectable www.urdutehzeb.com/public_html KhUsHi's Avatar
      Join Date
      Sep 2014
      Posts
      6,467
      Threads
      1838
      Thanks
      273
      Thanked 587 Times in 428 Posts
      Mentioned
      233 Post(s)
      Tagged
      4861 Thread(s)
      Rep Power
      198

      Re: Youm Wafat Sir Alama Muhammad Iqbal

      Thanks for sharing






      اعتماد " ایک چھوٹا سا لفظ ھے ، جسے
      پڑھنے میں سیکنڈ
      سوچنے میں منٹ
      سمجھنے میں دِن
      مگر

      ثابت کرنے میں زندگی لگتی ھے





    3. #3
      Family Member Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982 Baab-Ul-Islam's Avatar
      Join Date
      Jan 2015
      Location
      Manchester U.K
      Posts
      54
      Threads
      26
      Thanks
      10
      Thanked 17 Times in 11 Posts
      Mentioned
      1 Post(s)
      Tagged
      99 Thread(s)
      Rep Power
      15

      Re: Youm Wafat Sir Alama Muhammad Iqbal

      Quote Originally Posted by Rania View Post
      Thanks for sharing
      Passand kurnay kaa shukriya




    + Reply to Thread
    + Post New Thread

    Thread Information

    Users Browsing this Thread

    There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

    Visitors found this page by searching for:

    youm-e-azadi poetic verse

    yome wafat alamaa iqbal

    faqeer ki gaol aur poetry

    iqbal day

    decoration ideas about iqbal day

    youm e azadi poetry

    fakeeri ka matlb urdu

    yom e iqbal ..theme

    hindustan ki yome azadi urdu poetry

    yome iqbal

    SEO Blog

    User Tag List

    Posting Permissions

    • You may not post new threads
    • You may not post replies
    • You may not post attachments
    • You may not edit your posts
    •