SHAREHOLIC
  • You have 1 new Private Message Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.

    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Results 1 to 6 of 6

    Thread: Baaji Or Aarzo

    1. #1
      Genius Poet www.urdutehzeb.com/public_html illusionist's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      831
      Threads
      202
      Thanks
      34
      Thanked 39 Times in 22 Posts
      Mentioned
      87 Post(s)
      Tagged
      3530 Thread(s)
      Rep Power
      39

      Baaji Or Aarzo

      Assalam o Alaikum

      Kaafi dair sur khujanay k baad mairay zahn mai chand lakeerain ayyi hain jo tehreer kar raha hoon apni rayyay zaroor batain ...........


      Baaji or Aarzo



      Hasseen jhilmilatay sitaroon ki chael pahal aaj aasman per saaf nazar arahi thi ............ Chandni raat or khulay aasmaan talay y jannat nazeer waadi itni khubsuraat lag rahi thi k koi musaafir ager y manzar daikh lay to humaisha k liyyay yaheen basaira daal kar khuda ka zikr surruh karday ............. Halka sard mosaam ownchi neechi pahaarrian, or un per chaandni jub takratti to aisa lagta k khuda ka noor chatanoon sai aabshaar ki shakl mai zameen per araha hoo...............

      her taraf hi ronaq laggi thi magar aik massom chaira aisa bhi tha jo her jazbay sai khaali apni chokhatt sai chaand ko aisay daikh raha tha k jaisay chaand mai us ki dunya bassi ho aik gumnam sa anssoo us k palkoon sai ahista sai tappka or gulabbi galoon sai hota huwa us ki hathaieli per girr parra.. Is masoom sii larki ki sooch ka tasalsul achanak hi tott parra jub gher k aklotay kamray sai khaansti huwi maa ki awaz ayii....



      Maa: - Aarzo Baita aik kattora paani piladoo.............

      Aarzo:- Acha baaji (Akloti honay ki waja sai larki Maa ko baaji kahti thi or kisi kisi gharanay mai aisa kaha jata hai)
      Aarzo:- Baaji hakeem sahib nai kaha tha k tum nai ager silayi ki to tumharii tabyat mazeed kaharab hojayyay gi tum araam kara karo aab mai kuch karoongi
      Maa:- maira baitta tum abhi sirf 12 saal ki ho bhut chotti ho kahan jao gi kia karoo gi
      Aarzo:- Baaji mairi sahaili shanno ki amma bangloon per kaam karti hain mai un k saath jaongi, mai nai us sai baat karli hai.
      Maa:- nahin nahin too sirf parhayi kar hakeem sahib mai jo sabaq diya hai wo yaad karlia tha
      Aarzo:- Baaji, sabq hi yaad kar rahi thi, Baaji khana ladoon
      Maa:- haan lai aoo dono khatay hain sath.



      Y kah kar larki kamray k konay per hi banay aik chabotray per cholay per charhi aik mitti ki haandi k pass gayi or us mai sai daal lai ayyi, rotti nashtay mai khaayii thi, dophair ko khanay mai sirf paani or yahi daal thi, daal bhi kia mukhtalif beejon ko mila kar aik khichrri bana rakhi thi ….

      Aarzo:- Baaji bus yahi hai subh kia hoga
      Maa:- Baita Allah Malik hai



      Khanay sai farigh ho kar dono maa baitti ik hi kambal mai sonay k liyyay laitt gayyay, Maa k sonay per larki nai maa ko mohabbat sai daikha or fart-e-jazbaat sai bae qaboo ho kar maa sai lippat gayi or dil mai aahed kia k wo gher k liyyay kuch na kuch zaroor kaam karay gi


      ..............................


      subh ki sapaidi ahista ahista falak per bikharnay laggi, murghoon ki baang jaga jaga sunaii dainay laggi mashriq sai soraj badshah ki siphaii kirnain falak per raat ki siyahhi k shasawaroon sai guthm gutha hueen to raat k shasawaar soraj badshah ki fauj ka ziada dair muqabla na kar payyay or akhir kaar Soraj badshah apni poori aab o taab k sath aasmaan per chamaknay laga jaisay kah raha hoo k mujhe sai ziada taqatwur koi nahin hala n k wo khud nahin janta k wo khud qudrat k likhay huway faisloon k agay kitna baebus hai...

      tootti photti jhonppri mai mailay sai bister or paiwand lagay kambal mai dubki Aarzoo ki ankhon per chutt k sorakh sai anay wali badtameez kirnain takrayyeen to wo ankhain maltay huway uth baithi, bhagal mai jub maa ko na daikha to baeqarari sai gurdan ghumaii to aik konay mai maa kalam-e-paak parhtay huway nazar ayyi.,,,, Aik asooda si muskaan aarzo k honto per agayii or wo moo hath dhonay k liyyay uth gayii.....

      Wo samajhdaar to na thi magar itna jaanti thi k subh naashtay mai kuch ziada na hoga lehaza us nai moo hath dhonay k baad adh bhar paitt paani pee lia or ALLAH ka shukr ada kia k Paani kitni barri naymat to hasil hai.
      ........................
      Dosri taraf maa ko bhi baitti ka khayal tha isi liyyay subh uth kar aik anda ubal liya tha jo k puli huwi murghi nai dia tha. Maa ko achi tarhan maloom tha k baitti yahi sawal karay gi k "Baaji tum nai kia khaya".. is k liyay maa nai acha sa jawab sooch lia tha .. or yahi sooch kar Maa pursakoon hogayii k baitti k sawal k jawab mai kia kahna hai....
      Aarzo kamray mai dakhil huwi or atay hi poocha


      Aarzo--------
      Baaji:- Aap nai naashta karlia kia.

      Baaji:--------
      Haan baitta mai nai fajr ki namaz k baad hi karlia tha.

      Aarzo- bae-yaqeeni sai
      Baaji:- Acha , bhala kia khaya aap nai

      Baaji:--
      Aik bakrian charanay walay ka guzr huwa tha to wo mujhaie thorra doodh or aik rooti dai gaya tha wo hi khalia

      Aarzo:- mairay liyyay nahin rakha , na?

      Baaji:- thorra tha baitti mai nai kha lia to chup kar k aanda kha laiii

      Aarzo :- Baaji mai aaj kaam per jaoon gi

      Baaji:- tujhaie kia zaroorat purr gayi hai

      Aarzo:- mujhaie nahin hum dono ko hai baaji or paroos mai jo khala rahti hain shanno ki amma unho nai kaha hai k wo mujhaie shanno ki tarhan kaam per laga dain gi

      Baji:- bhala ho shanno ki maa ka chal acha hai mai un sai baat karoongi

      Aarzo:- Baaji wo aaj aain gi tum sai baat karnay yahi. wo kahti hain k aik bhut barri madam ko safaii kai liyyay or un k bachon sai khailnay k liyyay bachian chaian to mai nai socha k kam ka kam or khail ka khail.

      Baaji:- bhut samajhdar hogayi hai too chal acha hai wahan to kuch parh bhi lai gi

      Aarzo:- haan baaji mai parhon gi or barraa aadmi banoongi.

      Baaji:- Inshallah

      Aarzo:- Ameen


      ..............................


      Dono maa baitti abhi batain kar hi rahay thay k darwazay k bahir sai anay walay shor nai unhain chonka dia, shanno ki amma (battayi buua), darwazay sai andar dakhil huween, buwa ko daikhtay hi aarzo ki ankhain khushi sai phail gayeen or wo fattafat bister or dosry cheezain samaittnay mai lag gayii...


      Baaji:- Batayi Assalam o Alikum
      Buua:- Walaikum salam
      Buua:- chaloo bhae tumharii to lotery nikal ayi hai, mai nai aik madam sai baat karli hai or mai aarzo ko lai janay ayi hoon.

      Baaji (thorra udassi sai):- lai jao magar batayyi thorra is ka dhiaan rakhna nasamajh hai or hassas bhi bhut hai

      Buua:- Lo, aik to mai naiki kar rahi hoon or tum ho k nashiatain surruh , kaam to kaam hota hai koi mujhe ko faida thorra hi hai, itna hai to issay pallu mai chupa kar rakho, or waisay bhi aarzo shanno k peechay parri thi to mai nai baat kar li or haan batay dai rahi hoon jo paisay milain gay us mai sai mai apna hissa loon gi.

      Baaji (thorra tawaquf kar k ) :- batayyi hissa kaisa

      Buua:- bhae agar mai chahti to is k hissay ka kaam khud hi karlaiti magar mujhaie to tum logon ka khayal agiya na to jo paisay aarzo ko madam dai g us mai sai thorra bhut mai lai loon g.

      Baaji:- Acha (or gardan jhukali ta k aati hui aarzo maa k ansoo na daikh lai)


      Aarzo:- acha baaji mai jaon, Allah Hafiz, chalo buua chaltay hain..

      Buua:- haan chalo chalo waisay bhi teri waja sai aaj mujhaie dair hogayi aab batain to mujhaie hi sun na parain gi na........................


      Aarzo inthiyyai khud aitemaadi sai aik aik qadm uthaati hui buua k sath chal rahi thi or soch ra thi k shanno bhi sath hoti to kitna acha hota magar wo bukhaar ki waja sai aaj sath nahi thi... phir aarzo nai socha k jo bhi paisay milain gay un sai sub sai pahlay baaji k liyyay wo ja-namaz khareeday gi jo hakeem sahib k pass hai or phir aik garam kambal ta k baraf baari jub hona surruh ho to dono maa baiitti mazay sai sojain or phir baajii ki dawayyian bhi to hain magar in sub chheezon k liyyay kitnay paisay honay chaaiyan .....inhin sochon mai ulajhti wo or buua banglay k sadar darwazay par pohnch gayyay..

      Bangla kia tha pahaari k daman sai thorra hatt kar aik wasee o areez zameen per phaila huwa poora aik mahal tha, darwazay per kharray huway chowkidaar nai jub aarzo ko apni surkh aankhon sai ghoor kar daikha to baechaari wo to durr hi gayyi .. Sath hi us nai muskura kar buua sai kuch khusr phusr ki, phir wo buua k sath banglay k andar agayii wo bhut ghoor sai aik aik cheez ka jaizza lai rahi thi k kuttay k bhonknay ki awwaz k sath hi wo burri tarhan uchal gayyi..us k bikul samnay aik khunkhuwaar raal tapkatay huway aik inthiyyai bhianak kutta kharra tha ager us ki zangeer ka sira bandha na hota to aarzo ko laga wo issay khaa hi laita , wo taiz kadmon sai thorra door hath gayii...us ki saans bhut taiz chal rahi thi....dil zor zor sai dharak raha tha..Abhi wo is achanak uftaad sai sambhal hi na payyi thi k samnay sai aik oorat atay huway dikhayi di

      Buua:- salam madam sahib

      madam:- agaayen tum y time hai anay ka

      buua:- bus aap sai naii bachi ka kaha tha usai layi hon is wastay thorri dair hogayii

      madam nai aarzo ki taraf daikha or kaha :- idhar aao kia naam hai

      aarzo :- g aarzo

      madam naak sukertay huway:- acha theek hai

      madam buua sai:- isay saray kam samjha doo kia karna hai

      y kah kar madam andar chalay gayii

      buua:- daikh aarzo tera aaj pahla din hai jharoo poocha to mai kar loon gi to nai aik kapra lai kar her cheez per sai mitti saaf karna hai, koi cheez nahin torrni or jab safayi hojayyay gi to madam kii aik bachi hai "sweety" us k sath khailna hai

      aarzo (dil hi dil mai khailnay ka soch kar khush hotay huay):- haan haan mai sub kaam karloon gi buua.

      buua:- chal ajaa phir mairay sath kaam surruh kartay hain.............



      Banglay k androni darwazay sai andar dakhil hotay hi aik taraf sai barri seerhian upper ki taraf jaarahi theen or dosri janib aik lambi rahdaari thi jo bhut door kahin gum hoti nazar arahi thi , buua seerhion sai upper charhnay laggi or aarzo us k peechay peechay,. Upper pohnch kar aarzo ki ankhain fart-e-hairat sai khuli ki khuli rahi gayeen us nai daikha k aik barra sara kamra hai or kaii ajeeb o ghareeb cheezain hain, sang e mur mur sai banii mortian hain , chandi k bartan or shair ki khal sai buna huwa aik shaandaar kalieen farsh per bicha hai ..

      buua:- aarzo to in cheezon ki safayyi kar lai , kappra samnay parray dabbay sai nikal lai daikh koi cheez tottay na samjheen................ amma nai kuch to sekhaya hoga na ya bataon safayi kaisay karna hai chamkadioo ta k madam khush hojayyay taira hi faida hai.

      Aarzo:- tum fiqr nahin karo buua mai achay sai karron gi ........


      Aarzo sambhal sambhal kar chaltay huway dabbay ki janib barhi or kapra hath mai lai kar sochnay lagi k sub sai pahlay kia saaf karoon usay laga k buua khud batla dai gi magar buua to jaa chuki thi, aarzo nai socha shanno hoti to kitni asani hojati , baherhal us nai socha pahlay sang e mar mar ki mortion ko saaf karna chaiyyay....



      Aik purasrar si khamooshi chayyi thi banglay k andar jaisay k yahan insaan siray sai rahtay hi na hoon bus kabhi kabhi kahin kareeb sai kisi totay ki ttain ttain ya koyal ki ko ko ya kisi kaway ki kayyain kayyain ki awaz sunayi dairahi thi, in sub batoon sai bae-niaaz masoom aarzo kamray ki aik aik cheez ko saleeqay sai saaf karrahi thi, kaafi waqt guzr chuka tha, buua to aisay chorh kar gayi k abhi tuk wapis hi na pultti , aarzo qemti cheezon ko itnay saleeqay sai saaf kar rahi thi k daikhnay walay ko aisa guman ho k y bachi kaafi tajurba rakhti hai or daikha jayyay to y nanhi bachi bachpan sai hi saleeqa mand or samajhdaar thi..

      Safayi safayi kartay kartay aarzo aik barray sai showcase k samnay ponchi andar rakhay saman ko daikh kar thorra thatak gayyi kion k sub sai neechay walay khanay mai kafi saray khilonay rakhay thay , agar showcase lock na hota to shayad wo in ko choo bhi laiti, aarzo nai dil hi dil mai socha k madam sahiba k bachay kai saath khail lai gi . Is masoom ko y nahin pata tha k thorri dair mai is k nanhay dil per kia qayamat anay wali hai .....

      Abhi wo soch hi rahi thi k buua ki neechay sai awaz sunayi di ............

      Buua:- aarzo idhar aa zara neechay

      aarzo:- ayyi buua g

      aarzo kapray ko us ki jaga per rakh kar taiz kadmo sai seerhian utargayi or buua k samnay pohnchi buua k hath mai aik tray thi jis per do chayay k cup or kuch biscuits thay jinhain daikhtay hi nanhi aarzo ki bhok chamak utthi magar wo chup rahi ..

      Buua:- ja samnay k darwazay sai bahir ja wahan dalaan mai madam sahiba apni sahaily k sath baithi batain kar rahi hain to jakar unhain y chayyay dai dai ................

      Aarzo :- g buua.

      Tray ko ahtiat sai pakkar kar aarzo bhut sambhal sambhal kar chaltay huway bahir dalaan mai pohnchi wahan us nai daikha k madam k sath us hi ki umer ki aik or madam baitheen theen or madam ka bacha madam k barabar mai kharra football ko laat marnay ki tayari kar raha tha, isi lamhay madam nai aarzo ko daikha or kaha

      madam:- idhar lai aoo chayyay kharri hui kia soch rahi hoo

      aarzo:- g g

      aarzo dartay huway agay barhi or bus kareeb hi pohnchi thi k madam k bachay nai football ko laat mari or ball aarzo ki kamar per laga jis sai us ka tawazun bigger gaya or tray cup samait us k hath sai chott kar madam ki sahaili ki safaid kameez ko daaghdar kartay huway zameen per girr gayyi , dono cup bhi tott gayyay..... Aarzo buri tarhan saham gayi apni kamar mai usay dard mahssos huwa magar durr kai maray c bhi na karsaki

      madam ki ankhaiin ghussay sai laal ho rahi theen or wo zor sai chilayii buua kambakht kin kaam choron ko to utha kar lai atti hai daikh is nai kia karnama kia hai , sath hi aik zor ka thappar aarzo k nazuk galoon per jhurr diya abhi aarzo apni ankh khol hi na payyi thi k dosri madam nai uth kar zor zor sai aarzo ki kamar per marna surruh kia or kahnay laggi yai mujhaie france sa kisi nai gift mai bhaiji thi kambakht tum log 10 dafa mar kar bhi paida hojao to y nahin khareed saktay,, is per bhi bus na chala to us nai aarzo ko buri tarhan dhakka dai dia aarzo ka sar zameen per laga or mathay sai phutt gaya, masoom nai aik ansoo nahin tapkaya wo to hairat sai saktay mai agayii thi..

      Madam nai zor sai chilla kar buua ko bulaya

      madam:- arii kambakht kahan margayi hai idhar aa jaldi

      buua(ghabrati huwi ayyi):- kia huwa madam g


      madam:- pooch kia nahin huwa issay lai kar foran dafaan hoja or issay chorh kar wapis aa daikh kitna satiyanaas kardia hai is nai.

      Buua:- acha madam ghalti hogayii abb nahin laon g issay.....

      Buua nai ghussay sai aarzo ki taraf daikha or zor sai bazo sai usay pakkar kar taqreeban ghaseettay huway banglay sai bahir lai ayyi or kahnay lagi.

      Aarzo:- jub tujhaie nahin araha tha to bol daiti mairi nokri bhi khatray mai daal di , baap ray baap naiki kar daya mai daal wali baat aaj samajhe ayyi


      baechaari aarzo shass o panj k alam mai thi

      buua usay lai kar taiz gaam ki tarhan us k gher tuk pohnchi or isay gher janay ka ishara kia or khud palat kar wapis banglay ki taraf chal di... Taiz chalnay ki waja sai aarzo ki chappal bhi tott gayi thi or rastay mai koi kanta bhi us k paon mai chubh gaya tha magar jo khanjer us k nanhay sai dil ko laga tha us ki takleef sab sai ziada thi, apnay gher pohnch kar us nai ahista sai darwaza khola.....

      Baitti ki muntazir maa jis ki ankhaini darwazay per hi theen baitti ko darwazay per daikh kar thattuk gayii kion k us ko y maloom tha kai maghrib sai zara pahlay hi wapis ayyay gi abhi us nai do kadam baitti ki janib uthayyay hi thay k aarzo dorr kar maa sai lippat gayyi or bae-tahashaa ronay laggi .................. Maa dunya ka tajurba rakhti thi or aarzo k is tarhaan baetahasha ronay sai usay saaf samajhe agiya tha k nannhi parri k sath kia kia huwa hoga ,, baitti k ronay nai us ka g bher diya or wo bhi batti kai sath hi ronay lagi .......... Jab ansoon ka tofan thama to dono nai aik dosray ki janib daikha .......... Sojhi huwi aankhon k sath aarzo nai apni maa sai faqt itna poocha...............

      Aarzo:- baaji "maa to maa hi hoti hai chayyay wo kisi ki bhi hoo"...............

      Baaji:- haan baitta maa to maa hi hoti hai chayyay kisi ki bhi hoo

      aarzo :- nahin baaji aap jhoot bol rahi hoo ,..............


      Itna kah kar aarzo nidhaal ho kar apnay bister per lurhaak gayii or maa dil mai sochnay lagi k y barray loog y kion bhol jatay hain kai bachay to bachay hi hotay hain chayyay wo un k hoon ya dosron k , wo zulm kartay huway y kion bhol jatay hain k " hazrat mohammad mustafa (saww) nai bachon sai mohabbat ka dars dia hai...........

      (khatm-shud)


      Umeed hai aap laug pasand karain gay or apni ara ka izhaar karain gay .

      meer



    2. #2
      Moderator www.urdutehzeb.com/public_htmlClick image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982
      BDunc's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      8,431
      Threads
      678
      Thanks
      300
      Thanked 249 Times in 213 Posts
      Mentioned
      694 Post(s)
      Tagged
      6322 Thread(s)
      Rep Power
      120

      Re: Baaji Or Aarzo

      V good baba


    3. #3
      Vip www.urdutehzeb.com/public_html Anmol's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      6,040
      Threads
      1965
      Thanks
      0
      Thanked 86 Times in 82 Posts
      Mentioned
      298 Post(s)
      Tagged
      4782 Thread(s)
      Rep Power
      76

      Re: Baaji Or Aarzo

      v. nice



    4. #4
      Genius Poet www.urdutehzeb.com/public_html illusionist's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      831
      Threads
      202
      Thanks
      34
      Thanked 39 Times in 22 Posts
      Mentioned
      87 Post(s)
      Tagged
      3530 Thread(s)
      Rep Power
      39

      Re: Baaji Or Aarzo

      thanx @Anmol


    5. #5
      Vip www.urdutehzeb.com/public_html Anmol's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      6,040
      Threads
      1965
      Thanks
      0
      Thanked 86 Times in 82 Posts
      Mentioned
      298 Post(s)
      Tagged
      4782 Thread(s)
      Rep Power
      76

      Re: Baaji Or Aarzo

      ur wc @illusionist



    6. #6
      Genius Poet www.urdutehzeb.com/public_html illusionist's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      831
      Threads
      202
      Thanks
      34
      Thanked 39 Times in 22 Posts
      Mentioned
      87 Post(s)
      Tagged
      3530 Thread(s)
      Rep Power
      39

      Re: Baaji Or Aarzo

      Quote Originally Posted by Anmol View Post
      ur wc @illusionist
      Thanks @Anmol


    + Reply to Thread
    + Post New Thread

    Thread Information

    Users Browsing this Thread

    There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

    Visitors found this page by searching for:

    Nobody landed on this page from a search engine, yet!
    SEO Blog

    User Tag List

    Posting Permissions

    • You may not post new threads
    • You may not post replies
    • You may not post attachments
    • You may not edit your posts
    •