Udaas raaton mein tezz kaafi ki talkhiyon mein,
woh kuchh zyada hi yaad aata hai sardiyon mein.
Mujhe ijaazat nahin hai uss ko pukaarne ki,
jo goonjta hai lahoo mein, seene ki dhadkanon mein.
Woh bachpanaa jo udaas raahon mein kho gaya tha,
main dhoondta hun usey tumhaari sharaaraton mein.
Usey dilaase toh de raha hun magar ye sach hai,
kahin koi khauf badh raha hai tasalliyon mein.
Tum apni poron se jaane kya likh gaye the jaanam,
charaagh roshan hain ab bhi meri hatheliyon mein.
Jo tu nahin hai toh ye mukammal na ho sakengi,
teri yehi ahmiyat hai meri kahaaniyon mein.
Mujhe yaqeen hai woh thaam lega bharam rakhega,
ye maan hai toh diye jalaaye hain aandhiyon mein.
Har ek mausam mein roshni si bikherte hain,
tumhaare ghum ke charaagh meri udaasiyon mein. !!
–Wasi Shah
Bookmarks