Ghum raha jab tak ki dam mein dum raha
dil ke jaane ka nihaayat Ghum raha
husn tha tera bahot aalam fareb
Khat ke ane par bhi ik aalam rahaa
mere rone ki haqiqat jis mein thi
ek muddat tak woh kaaghaz num raha
jama-e-ehraam-e-zahid par na ja
tha haram mein lekin na-mehram raha
Similar Threads:
Bookmarks