Karun na yaad mager kis tareh bhulaon use
Ghazal bhaa na kareun aur gungunao use.
Wah khar-khar hai shakhe-gulaab ki manind
Main zakhm-zakhm hoon fir bhi gale lagao use.
Yeh log tazkiraa kerte hain apne logon ke
Main kaise baat karun ab kahan se laon use.
Wahi jo daulte-dil hai wahi jo raahate-jaan
Tumahri baat per E Naaseho ! gavaon use.
Jo hum safer sare-manzil raha hai 'Faraaz'
Ajab nahin hai ager yaad bhi na aaon use.
Similar Threads:
Bookmarks