koi ummid bar nahi ati
koi surat nazar nahi ati

maut ka ek din muayyan hai
nind kyon rat bhar nahi ati

age ati thi hal-e-dil pe hansi
ab kisi bat par nahi ati

janta hun sawab-e-tahat-o-zahad
par tabiyat idhar nahi ati

hai kuch aisi hi bat jo chup hun
warna kya bat kar nahi ati

kyon na chikhun k yad karte hain
meri awaz gar nahi ati

dag-e-dilgarnazar nahi ata
bu bhi ai charagar nahi ati

ham wahan hain jahan se ham ko bhi
kuch hamari khabar nahi ati

marte hain arzu mein marne ki
maut ati hai par nahi ati

kaba kis munh se jaoge 'Ghalib'
sharm tumko magar nahi ati