Ashraf ko abhi pakistan apny ghar aay hoy ba mushkil mehna he hoa ho ga, k Zareena char'pai sy lg gai. 25 saal k baad wapsi hoe the Ashraf ki ghar, Pechli sabhi salon me wo chakr lgata raha Pakistan yahi kbhi mehna kbhi 2 mehny guzara k salon k liye chla jata. Ab apny beton ko beron e mulaik bula kr khud wapis aa gaia tha k Ab baqi ki zindagi Ghar me aram sy guzary ga aur jo batien Zareena sy nahi keh paia en beety salon me wo keh dy ga, us ka Ehsan mand ho ga k us ny jasy sabr aur hoslay k sath ye sara arsa guzara aur bacho ki aachi parwrish ki us ka shukria ada kry ga usy btay ga k wo kis qdr Muhabt krta hy, kitna mushkil tha Zareena k bghair rehna. Ab to aachy din aay thy. lakin Zareena ab thak gai the Intzar kr kr k, bistr pr parr gai Ashraf hasptalon k chakr lgata raha Zareena ki zindagi ki duaien krta raha. lakin KHUDA ko zareena ki zindagi manzoor na the, aur wo apny dil me sb he batien chuppa k chli gai na kuch kaha na suna, tamam Zindagi jis k liye guzar di, us sy chand gharri dil ki batien krna b naseeb na hoa...


Similar Threads: